TUMHARI WAJAH SE KOI BESUKOON HAI TO YAAD RAKHO TUM ZAALIMON SE HO

 🔴 MUSALMAN WO HAI JO DUSRE MUSALMAN BHAI KO APNI ZUBAN AUR HAATH SE MAHFOOZ RAKHE 🔴 


Abdullah bin Amr bin al-As Radi allahu anhu se rivayat hai ki :Ek shakhs ne Rasool-Allah (ﷺ) se pucha ke kaunsa Musalman behtar hai ? To RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya wo Musalman jiski zuban aur haath se dusre Musalnman mehfooz ho (yani zuban se na kisi musalman ki burayi kare aur na haath se kisi ko takleef de.. 


(Sahih Muslim - Hadith No. 161) 


Abdullah bin Amr Radi Allahu anhu se riwayat hai ki : Rasoolullah (ﷺ) ne farmaya Musalman wo hai jo Musalman ko Apni Zuban aur Haath se (Takleef pahunchney se) mahfooz rakhe aur Muhajir wo hai jo un cheezon se ruk jaye jis se ALLAH ne mana kiya. 


(Sahih Bukhari - Hadith No. 6484) 


Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se riwayat hai ki :

Rasoolullah (ﷺ) farmaya Momin dusre Momin ka Aaeena hai, aur Momin dusre Momin ka bhai hai jo nuksaan ko usse dur karta hai aur uski gair maujudgi mein uski hifazat karta hai. 


(Sunan Abu Dawood - Hadith No. 4918, Hasan)


__________________________________________

🥀To get Reward in Akhirah,🥀

Share this with your families and friends

BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI

Post a Comment

0 Comments