WHAT IS SABR ? SABR KYA HAI ?



SABR (PATIENCE) 😐


🔴 Hazrat Abu Malik Ash'ari RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah ﷺ ne farmaya: Sabr (dil ki) Roshni hai

[Sunan Ibn Majah #280]

🔴 Hazrat Anas bin Malik RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: sabr to wo hai jo museebat ke Awwal waqt me ho

[Sunan Ibn Majah #1596]

🔴 Joweriya ne kaha: Maine naafa'e se poocha: Nabi ﷺ ne sahaba se kis baat par bait li thi ?
Kya maut par li thi ?
farmaya: Nahi, Balke sabr o isteqaamat par bait li thi

[Sahih Bukhari #2958]

🔴 Hazrat Anas RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: Sabr to wahi hai jo sadma ke shuru me kiya jaaye

[Sahih Bukhari #1302]

🔴 Hazrat Anas bin Malik RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: Allah ka irshaad hai ke: jab mai apne kisi banda ko uske 2 mehboob Aza'a(Aankhon) ke baare me Aazmaata hun (yaani na-beena kar deta hun) aur woh uss par sabr karta hai to uske badle me use Jannat deta hun

[Sahih Bukhari #5653]

🔴 Hazrat ibn Abbas
RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : jo shakhs apne haakim se buri baat dekhe wo sabr kare

[Sahih Muslim #4790]

🔴 RasoolAllah (ﷺ) ne Ansaar ki Aurton se farmaya: tum me se jis Aurat ke bhi 3 bacche faut ho jaaye aur woh (iss pe sabr karte hue) inka sawab Allah se talab kare to woh zaroor Jannat me daakhil hogi

[Sahih Muslim #6698]

🔴 Hazrat Suhaib RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: Momin ka muaamla Ajeeb hai, uska har muaamla uske liye bhalaayi ka hai, use khushi aur khushaali mile to shukr karta hai aur yeh uske liye accha hota hai aur agar use koi nuqsaan pahunche to sabr karta hai aur ye bhi usks liye bhalaayi hoti hai

[Sahih Muslim #7500]

🔴  Hazrat Abdullah ibn Umar RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: wo Momin Jo logon se mil jul kar rahta hai aur unki Ezaá par sabr karta hai to uska sawab uss Momin se zyada hai jo logon se alag thalag rahta hai aur unke takleef dene par Sabr nahi karta

[Sunan Ibn Majah #4032]

🔴 Hazrat Sinan Al-Aslami RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: khaana kha kar Allah ka shukr ada karne waale ko sabe karne waale saayem (bhooke Shakhs) ke baraabar sawab milta hai
[Sunan Ibn Majah #1765]

🔴 Hazrat Abu huraira RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: khaana kha kar Allah ka shukr ada karne waala sabr karne waale roza daar ke hum rutba hai

[Sunan Ibn Majah #1764]

🔴 Hazrat Abu umamah RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: Allah ta'ala farmaata hai: Aye ibn Adam! Agar tum museebat padte hi sabr karo, aur sawab ki niyat rakho to mai Jannat se kam sawab par tumhaare liye raazi nahi honga

[Sunan Ibn Majah #1597]

🔴 Hazrat Abu huraira RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: Madeena ki tangi aur uski sakhtiyon par jo sabr karega, mai Qayamat ke din uske liye gawaah aur sifaarshi hounga

[Tirmizi #3924]

🔴 Hazrat Abdur Rahman bin 'Awf RadiAllah anhu se riwayat hai, unho ne kaha : hum RasoolAllah (ﷺ) ke saath takleef aur tangi me Aazmaaye gaye to uspar hum ne sabr kiya, phir Aap ke baad ki haalat me kushaadgi aur khushi me Aazmaaye gaye to hum sabr na kar sake

[Tirmizi #2464]

🔴 Hazrat Anas bin Malik RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: Logon par Ek Aisa zamaana aayega ke unn me apne Deen par sabr karne waala Aadmi Aisa hoga jaise haath ne chingaari pakadna waala

[Tirmizi #2260]

🔴 Hazrat Umm umarah RadiAllah anha se riwayat hai, RasoolAllah ﷺ hamaare paas tashreef laaye, to hum ne Aap ko khaana pesh kiya, Aap ﷺ ke kuch saathi roze se the, to RasoolAllah ﷺ ne farmaya: Roza daar ke saamne jab khaana khaaya jaaye (aur woh sabr kare) to farishte uske liye dua karte hain

[Sunan Ibn Majah #1748]

🔴 Hazrat Abu huraira RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah ﷺ ne farmaya: Allah ta'ala farmaata hai: Maine jiski piyaari Aankhen (eyes) cheen li aur usne iss par sabr kiya aur sawab ki ummid rakkhi to mai use Jannat ke siwa aur koi badla nahi dunga

[Tirmizi #2401]

🔴 Hazrat Abdullah ibn Mas'ood RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah ﷺ ne farmaya: jo shakhs faaqah ka shikaar ho aur uspar sabr na kar ke logon se bayan karta phire to uska faaqah khatam nhi hoga aur jo faaqah ka shikaar ho aur use Allah ke hawaale kar ke us par sabr se kaam le to qareeb hai ke Allah ta'ala use der ya sawer rozi de

[Tirmizi #2326]

🔴 Hazrat khalid sulami apne waalid se riwayat karte hain ke ,RasoolAllah ﷺ ne farmaya: jab bande ko Allah ki taraf se koi Aisa rutba mil jaata hai jis tak woh apne Amal ke zariye nahi pahunch paata to Allah ta'ala uske jism, uske Maal ya uski Aulaad ke zariye use Aazmaata hai, phir Allah use sabr ki taufeeq deta hai, yahan tak ke woh banda uss maqaam tak ja pahunchta hai jo use Allah ki taraf se Mila tha

[Sunan Abu Dawood #3090]

🔴 Hazrat Abu Saeed khudri RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah ﷺ ne farmaya: Jo sabr karega Allah ta'ala use sabr ki taufeeq dega aur sabr se behtar aur Badi cheez kisi ko nhi di gayi hai

[Sunan Nisai #2589]


__________________________________________

🥀To get Reward in Akhirah,🥀

Share this with your families and friends

BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI

Post a Comment

0 Comments