❣Jayez aur Halal Mohabbat ka Izhar ❣
● Insani Mua’ashre mein Mohabbat Aur Chahat, Dosti Aur Unity Ki Targheeb Jitni Deen-e-Islam aur Paighambar e Islam Muhammad ﷺ ne di hai Duniya ke kisi aur Deen ne Nahi di...
🍁 Rasool-Allah Muhammad ﷺ Ne Farmaya: “Jab Tum Mein Se Koi Apne Bhai se Mohabbat kare to Use Chahiye ke Wo Apne Bhai ko Batade (Yani Mohabbat ke Talluq ka izhar Kare).”
(Tirmizi: 2392)
● Izhar e Mohabbat se Islam Mana Nahi karta Bs Na’Mahram Mard Aur Aurat ke Darmiyan Na-Jayz Mohabbat, Milne Aur Be-Hayayi ko Haram Qarar deta hai, Insan ko Chahye ke Wo Biwi Bacchon, Waldain aur Bahen Bhaiyyon se Toot kar Mohabbat kare aur iska Munasib Andaz mein izhar bhi Kare, Izhar e Mohabbat ka khaas Tariqa ya Tareekh tai Karna Jaise 14 February ko Valentines day Manana, Friendship Day Ye Sab Yahood o Nasara ki Mushabihat (Copy) Hai....
0 Comments