Is Saying Jumma Mubarak Biddah || Kya Jumma Mubarak Kehna Biddat Hai


السلام علیکم 

Muhammad ﷺ ne Mubarakbad dene ke tariqe bataaye hai

Hamen waisa hi karna chahiye…Jaise Eid Ki mubarakbad ke liye dua sikhayi
"Taqabbal allahu minna wa minkum"

[Fatehul bari-2/446]

Lekin Jumah Ke liye Aisa kuch ni faramaya lihaza ye biddat hai..
Jumma Mubarak bolna Nabi se ya sahaba se sabit nhi hai kisi hadees me bhi nhi hai

Nabi Muhammad ﷺ ne Deen jitna sikhaya h wahi tak hme sikna hai nabi se aage nhi badhna hai…. 

Quran me Allah swt kahte hai "Aur us din zalim shaksh apne hath chaba chaba kar kahega ke haye kash ke maine Rasul Muhammad ﷺ ki raah ikhteyar ki hoti"

[Surah Furqan Ayat No 27]

Ayesha (r.a) riwayat karti hai ki Muhammad ﷺ ne farmaya ki Jisne hamare is deen me kuch aisi baat shamil ki jisme hamara amal nhi hai to wo mardud (Rejected) hai

[Sahih al bukhari #2697, Sahih Muslim #1718]

Abdullah Ibn Umar (RA) farmate hain: TAMAAM Biddatein GUMRAAHI hain, agarche “Ba-Zaahir woh, logon ko ACHCHI lagein”

[SUNAN KUBRA BAIHAQI HADITH #138]

Jumma Mubarak kehna ALLAH ke Rasul Muhammad ﷺ se sabit nai hai aur jo kehte hai...wo sahih hadith se sabit karke batayen…Upar Quran aur ahadith ki roshni se ye pata chala ke apni taraf se koi kam karne me koi fayeda nahi hai aur jo aisa krta h wo qayamat k din ruswa hoga ke jo ALLAH ke Rasool Muhammad ﷺ hame bata k nai gaye humne wo kam kyun kiya 

Kuch log kehte hai Ke Hadees me Jume ko momin ki eid kaha gaya Hai
Beshak....Bilkul Lekin Ye Eid Nabi, Sahaba ke zamane mein bhi to ayi hogi
To Unhone kabhi aisi mubarakbad di ?

To fir Aaj Ki Ummat Kyun Aage Badhna chahti hai ?

Kuch log Jume ki fazilat ko Daleel bana kar juma mubarak kehte hai To Fazilat to Wuzu ki bhi Bohat hai To Kaha jaye "WUZU MUBARAK"
Namaz ki bhi badi fazilat hai kaha jaye
"NAMAZ MUBARAK"
Aur bhi Ibadat hai To Unki bhi mubarakbad di jaye to ummat mubarak bad hi deti rahegi 😏 

Juma mubarak kehna iska suboot QURAN HADEES me nhi milta,
Kabhi kabhi kisi ko kehde to gunjaish h magar jis tarah se log is ko bahut Rivaaj de rhe hai jise dekho fb, insta, whatsapp me JUMMA MUBARAK wish kar rhe hai
Aise log bewajah waqt barbad karte hai or ise deen smjh baithe h aise halaat me juma mubaaak Biddat ke Dayre me aa jayga isse parhez karna behtar hai


__________________________________________

🥀To get Reward in Akhirah,🥀

Share this with your families and friends

BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI


 

Post a Comment

0 Comments