❣ Jab aap bacche ko chalna sikha rahe hote hai to use ek Jage khada kar dete hai aur aap thode se faasle par khud jakar baith jate hai
💫 Bachcha us waqt bahot dar raha hota hai, khud ko tanha mahsus kar raha hota hai, pareshani Mahsus kar raha hota hai, wo Jald se Jald aap tak pahochne ki koshish karta hai aur aap ki god tak pahochte hi aap ki bahon mein sama jata hai, Aur aap ko bhi ye baat Maloom hoti hai ke Agar bacche ko is stage se na Guzara jaye to bachcha kabhi chalna na sikh sake..
💫 Kabhi aisa bhi hota hai ke Baccha raaste me Dagmaga jata hai aur girne ke qareeb ho jata hai lekin Aapka pura dhyan uspe hota is wajah se wo gir nahi pata balke fouran aap use Sambhal lete hai aur dubara khada kar dete hai
💫 Bilkul isi tarah Jab Allah kisi bande ko apna Dost banana chah rahe hote hai to use pareshani me mubtela kar dete hai, wo pareshan ho kar apne Mabood Haqiqi ki taraf lout'ta hai, jo ke Mustaqil us ki taraf mutawajje hota hai, Raaste mein kayi Mauke aise bhi aate hai Jab Banda apne aap ko tanha mahsus kar raha hota hai lekin dar haqiqat wo tanha nahi hota balke Allah ki tarbiyat mein hota hai
💫 To bhool jaye is baat ko ke Aap Allah ki taraf badhne ki koshish me girne lagen aur Allah aap ko na sambhale, Qki Hadees ke mutabiq Jab Insan Allah ki taraf ek baalis kareeb hota hai to Allah ta'ala usse Ek Hath kareeb hota aur jab Banda Allah ki taraf Ek Hath kareeb hota hai to Allah uski taraf Do Hath Kareeb hota hai ❣
[Sahih Muslim - Hadith 6830]
0 Comments