Ghabarao Nahi Khuda Ki Madad Yakeenan Bahot Kareeb Hai
(Al Quran : 61:13)
Aaj Hum Choti Choti Musibato par Allah se mayus ho jate hai, Allah ki rehmat se Na-ummid ho jate hai jab ki ye Iman walo ko Zeba nahi deta...
Qki humse pahle Rasool-Allah (ﷺ), Aapke Sahaba, aur Jo Nek aur Saleh log the un par Is se Jyada Mushkile aur pareshani Aayi...lekin iske bawajud wo log Haq par Majbuti ke sath jame rahe aur Allah ki rehmat se mayus aur Na-ummid na hue...
Aur Allah ki Raah me Jaddo Jehad karte rahe jab tak ke Allah Ki Madad un tak pahunch na gayi...
Isi Ke Zeeman Me Quran-e-Kareem Ki Rehnumayi Hum Sab ko Sakht se sakth haal me bhi Housa Deti Hai :
👉 Al-Quran : “Kya tum ye Guman kiye baithe ho ke “aise hi Jannat” me chale jaoge ?
Halanke ab tak tum par wo Halaat nahi Aaye Jo tumse agle logon par Aaye they,
Unhe Bimariyan aur Musibatein Pahunchi aur wo hila diye gaye,
yahan tak ke Rasool aur uske saath ke Iman wale kahne lage ke Allah ki madad kab Ayegi ?
(fir unhe Tasalli di gayi ke) Ha! Allah ki Madad kareeb hi hai”
[Surah Baqrah 2 : Ayat 214]
♥ Subhan’Allah !!!
👉 Al-Quran : “Kya logon ne ye gumaan kar rakha hai ke unke sirf is Daawe par ke hum Imaan laye hai, hum unhe bagair Aazmaye hue hi chhod denge ?
Unse Aglon ko bhi Humne khoob Jaancha, Yaqinan Allah unhe bhi jaan lega Jo sach kahte hai aur unhe bhi Malum kar Lega Jo Jhoote hai”
[Surah Al-Ankabut 29 : Ayat 1-3]
Lihaja Mere Azeezo ❤ humein Har Aazmasih me Sabr se kaam lena hai ,.
har kism ke Gair Sharayi Rasm'aat se parhez kar khalis Rab Ki Nazil Karda hidayat aur RasoolAllah (ﷺ) Ki Pakiza Talimat par jam jana hai..
fir Jaisa ke Allah Ka Wada Kal bhi Pura hua IN'SHA'ALLAH ul Azeez !! Waisa Aaj bhi Pura hona lazim hai...
basharte ke hum Kamil Iman Wale yaani “Momin” ban Jaye....
0 Comments