Allah Ki Nemat Jinka Qayamat Ke Din Hisab Hoga


 NEYMATEIN JINKA QAYAMAT KE DIN HISAB HOGA


🔴 Insan ko di gayi mukhtalif Neymaton ka hisab liya jayega.

🔴 “phir tum say uss din naimaton kay baaray mein poocha jaye ga (kay unn ka kiya haq ada kiya)”.
[Surah 102 : Takasur, Aayat No: 8]

🔴 Kaan, Aankh aur Dil wagairah ke bare me bhi sawal hoga.

🔴 “woh Allah hi to hai jiss ney tumharay liye kaan aur aankhen aur dil peda kiye. (Magar) tum log boht kam shukar ada kertay ho”.
[Surah 23 : Mominoon, Aayat No: 78]

🔴 Izzat, ohda, daulat aur biwi bhi Neymatein hai jin ke bare me bhi sawal hoga.

🔴 Tandrsuti aur thande pani ke bare me bhi sawal hoga.

🔴 Sehat aur waqt ke bare me bhi sawal hoga.

🔴 kaan, aankh, maal, aulad, maweshi aur khait jaisi Neymaton ke bare me bhi sawal hoga.

👉 Hazrat Abu Hurairah r.a kehte hai RasoolAllah (ﷺ) ne irshad farmaya: “Qayamat ke roz logon se Neymaton ke silsilen me sab se pehle jis cheez ka sawal hoga wo ye hoga kya humne tere badan ko Sehat na di aur thanda thanda pani na pilata raha?”.

[Tirmizi #3358]

👉 Hazrat Abdullah bin abbas r.a se riwayat hai RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: “do Neymatein aisi hai ke aksar log unki qadr nahi karte Sehat aur faragat (khali waqt)”.

[Bukhari #6412]

👉 Hazrat Abu Hurairah r.a aur Hazrat Abu saeed r.a kehte hai RasoolAllah (ﷺ) ne Farmaya: “Qayamat k roz Ek Aadmi ko laya jayega aur Allah Tala usse daryaft farmayega “kya mai ne tujhe kaan, aankh, maal aur aulad nahi di thi, tere liye maweshi aur khait musakkhar nahi kiye the, aur qaum ka tujhe sardar bana diya tha jinse bharpoor khidmat kar liya karta tha, phir kya aaj k roz mulaqat ka tujhe yaqeen tha (ya nahi)?” Aadmi kahega “Nahi” Allah Tala usse Irshad farmayega “Aaj main bhi tujhe bhool jata hun jaise tu mujhe duniya me bhool gaya tha”.

[Tirmizi #2428]

👉 Hazrat Abdullah bin Masood r.a se riwayat hai Nabi Akram (ﷺ) ne Farmaya: Aadmi ka paanw Qayamat ke din apne Rab ke pass se nahi hatega jab tak ki usse 5 baton ka jawab na le liya jaye...

1) Umr kis kaam me guzari ?
2) Jawani kis kaam me khapai ?
3) Maal kaha se kamaya ?
4) Maal kaha par kharch kiya ?
5) Uske ilm ke bare mein us par kaha tak amal kiya?

[Tirmizi #2416]

Post a Comment

0 Comments