April Fool Manana Kaisa Hai 1st April Celebrate Karna Kaisa Hai


April Fool Manana Kaisa Hai ?

👉 RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya : "Sach" Bolne Ka Ehtemam Karo Kyunki Sach Bolna "Neki" Ka Rasta Dikhata Hai Aur Neki Jannat Ka Rasta Dikhati Hai,
Insan Musalsal Sach Bolta Rehta Hai Aur Sach Bolne Ki Koshish Mein Laga Rehta Hai Yahan Tak Ki Wo Allah Ke Yahan Bhi "Saccha" Likh Diya Jata Hai,
Aur Tum Log Jhoot Bolne Se Bacho Kyunki Jhoot "Burayi" Ka Rasta
Dikhata Hai Aur Burayi Dozakh Ka Rasta Dikhati Hai Insan Lagatar Jhoot Bolta Rehta Hai Aur Jhoot Bolne Ka Khwahismand Rehta Hai Yahan Tak Ki Wo Allah Ke Yahan Bhi "Jhoota" Likh Diya Jata Hai.

[Sahih Muslim Hadees No 6637]
[Sahih Muslim Hadees No 6639]

👉 RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya :
"Musalman Ke Liye Halal (Jayz) Nahin Ke Dusre Musalman Ko Daraye (Chahe Mazak Hi Mein Kyun Na Ho)"

[Sunan Abu Dawood Hadees No 5004]

👉 Jhoot bolne wale par Allah Ta’ala ki Lanat hoti hai.

[Surah:Al Imran, Surah No:3, Aayat No. 61]

Har saal 1st April ko April fool manaya jata hai Iski ibteda ke bare mein mukhtalif Kahaniya Milti hai...

👉 Kahani koi bhi ho Sawal ye paida hota hai ?

🔴 Kya hum samajhte hai jhoot bolna acchi adat hai ?

🔴 Kya hum pasnd karte hai k koi ham se jhoot bole ?

🔴 Kya hum mein se koi pasnd karta hai ke uska Mazak udaya jaye ?

Yaqinan hum jhoot ko accha nahi samajhte na hi kisi ka Mazak udana hamare nazdeek koi pasndida harkat hai aur na hi Hum khud apne liye aisa chahte hai to Phir April Fool kaise mana sakte hai Jo Jhoot bol kar dusron ko bewakoof banana aur unka Mazak udane ka din hai.

Allah Ta'ala Farmata hai: “Aye Iman walon! Mard dusre Mardon ka Mazak na udayen Mumkin hai ke ye unse behtar ho aur na Aurtein Aurton ka Mazak udayen Mumkin hai ke ye unse behtar ho, aur Aapas me Ek dusre ko Aaib na Lagao, Aur na kisi ko Bure Laqab do, Iman k baad Fusq bura Naam hai, Aur jo touba na karein wahi Zalim log hai.

[Surah: Al-Hujrat, Surah No:49, Aayat No:11]

🔴 Na Mazak banaye aur na Mazak ka nishana baniye.

🔴 Na jhoot boliye aur na kisi k jhoot me shamil hoye.

🔴 Apne akhlaq o aamal ki khoobsurti ko duniya ke samne laye taki wo jaan sakein ke aap kitne shandar deen ke numayenda hain.

👉 Hazrat Abdullah ibn Umar RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : jisne kisi Qoum ki mushabihat ikhtiyaar ki (copies religious activity) to wo unn hi mein se hai

[Sunan Abu Dawood Hadees No 4031]

👉 Kisi ko Fool banana Ek Qabeeh (buri) harkat hoti hai, Jhoot bole bagair kisi ko bewakoof nahi banaya ja sakta aur Ek Musalman ko Jhoot nahi zeba deta.

🔴 RasoolAllah (ﷺ) ne Farmaya : Us Shaks Ke Liya Halakat hai jo logon se Baat karta hai aur unko hasane ke liye jhoot bolta hai, uske liye halakat hai, uske liye halakat hai.

[Musnad Ahmad Hadees No 9913]

🔴 Yaad rahe! Musalman wo hai jo apne bhai ke liye wahi pasnd karta hai jo apne liye pasnd karta hai, jab hum apne liye jhoot aur Mazak pasnd nahi karte to phir kisi dusre ke liye kaise kar sakte hai ?

🔴 Aur Jhoot bolna Gunah E Kabirah hai.

🌷 Allah Tala ham sab ki hifazat farmaye Aameen 🌷

Post a Comment

0 Comments