¿¿¿ Humne Kya Kiya ??? 😓 🔴 Humne khuda ko pehchana magar uski mar’rifat ka Haq ada na kiya. 🔴 Humne Quran padha magar us par Amal na kiya. 🔴 Humne Rasool (ﷺ) se mohabbat ki magar sunnat par Amal na kiya. 🔴 Humne adawat shaitani ka dawa kiya magar uski mukhalifat na ki. 🔴 Humne jannat ko chaha magar usme dakhil hone ka saman na banaya. 🔴 Humne jahannum se panah mangi magar khud hi apne nafso ko usme daal diya. 🔴 Humne mout ko barhaq jana magar uske liye tayyari na ki. 🔴 Humne dusron ki aib joi ki magar apne aib na dekhe. 🔴 Humne Allah ki neymtein khayi magar uska shukr ada na kiya. 🔴 Humne murdon ko dafan kiya magar ibrat hasil na ki.
🤲 Dua hai ke Allah hamein apne shukr guzar bandon me shamil hone ki toufeeq ata farmaye Aameen 💐
0 Comments