Jung Ki Tamanna Na Karo Lekin Tayyar Raho


Jung Ki Tamanna Na Karo! Lekin Tayyar Raho!

RasoolAllah (ﷺ) Irshad Farmaya: "Aye Logon! Dushman Ke Sath Jung Ki Khwahish Aur Tamanna Dil Mein Na Rakha Karo,
Balke Allah Ta'ala ala Se Aman Wa Aafiyat Ki Dua Kiya Karo, Albatta Jab Dushman Se Mud Bhed Ho Hi Jaye To Phir Sabr Wa Istiqamat ka Saboot Do!

Yaad Rakho Ke Jannat Talwaron Ke Saye Tale Hai,
Iske Baad Aap (ﷺ)  Ne Ye Dua Farmayi

اللَّهُمَّ مُنْزِلَ الْكِتَابِ ، وَمُجْرِيَ السَّحَابِ ، وَهَازِمَ الْأَحْزَابِ اهْزِمْهُمْ ، وَانْصُرْنَا عَلَيْهِمْ    .

Aye Allah! Kitab Ke Nazil Karne Wale, Badal Bhejne Wale, Dushman Ke Lashkaron Ko Shikast Dene Wale, In Dushmano Ko Shikast De Aur Inke Mukable Mein Hamari Madad Kar".

[Sahih Bukhari #2966]

Post a Comment

0 Comments