KYA AURAT GHAR ME ITEKAAF KAR SAKTI HAI Ulama kiraam is par muttafiq hain ke mard ka masjid ke ilawa kahin aur Ehtekaaf sahih nahii, is liye ke Allah taala ka farmaan hai : ”Aur tum aurton se us waqt mubashrat na karo jab tum masjidon mein Ehtekaaf ki haalat mein ho.”
[Surah Al-Baqarah :187]
Upar batai gayi Ayat mein Ehtekaaf ko masjid ke sath khaas kiya gaya hai lehaza yeh saabit hua ke masjid ke ilawa kahin bhi Ehtekaaf karna sahih nahii hoga .
[ Al Mughni Ibn Qudamah (4/461) ]
Aurat ke baare mein jamhoor ulama kiraam ka kehna hai mard ki tarah aurat ka Ehtekaaf bhi masjid ke ilawa kisi jagah sahih nahii, jis ki Daleel bhi yehi ayat hai :
”Auraton se us waqt mubashrat na karo jab tum masjid mein Ehtekaaf ki haalat mein ho.”
[Surah Al-Baqarah :187]
Aur iss liye bhi ke Nabi (ﷺ) ki azwaaj mutahraat (wives) Raziallahu anha ne Nabi (ﷺ) se masjid me Ehtekaaf karne ki ijazat talab ki to Nabi (ﷺ) ne unhen ijazat de di, aur Nabi (ﷺ) ki wafaat ke baad bhi woh masjid mein hi Ehtekaaf kiya karti thi.
Aur agar aurat ka apne ghar mein Ehtekaaf karna jayez hota to Nabi (ﷺ) unki rahnumayi farmate kyunki masjid me jaane se uske apne ghar me parda ziyada hai, is ke bawajood Aapne masjid mein hi Ehtekaaf ki ijazat di.
Baaz ulama kiraam ka kehna hai ke : Aurat ghar me apni namaz wali jagah par Ehtekaaf kar sakti hai, lekin jamhoor ulama kiraam ne aisa karne se mana karte hue kaha hai : Uske ghar me namaz wali jagah ko masjid nahii kaha ja sakta sirf majazi taur par usey masjid ka naam diya ja sakta hai, haqeeqatan woh masjid ka naam haasil nahii kar sakti is liye uske ehkaam bhi masjid wale nahii honge, isi liye wahan yani ghar me namaz wali jagah par Junubi aur haiza aurat daakhil ho sakti hai .
[ Ibn Qudamah Al-Miqdasi 4/464 ]
Imam Navwi Rahimahullah apni kitaab” Al-Majmua” mein kehte hain : Aurat aur mard ka masjid ke baghair Ehtekaaf sahih nahii, nahi to aurat ka ghar ki masjid mein aur nahi hi mard ka apne ghar me namaz wali jagah par Ehtekaaf karna sahih hai, yani us jagah jo ghar ke ek kone mein namaz ke liye tayyar ki gayi ho usey ghar ki masjid kaha jata hai .
[ Al-Majmua (6/505) ]
Sheikh Ibn Usaimeen Rahimahullah se mundarja zel sawal poocha gaya.
Agar aurat Ehtekaaf karna chahe to woh kis jagah Ehtekaaf keregi
To Shaykh Rahimahullah ka jawab tha :
Jab koi aurat Ehtekaaf karna chahe to agar usme koi sharai mahzoorv(anything that’s forbidden in shari’a) nahi paya jaye to woh masjid mein Ehtekaaf karegi, aur agar usme koi sharai mahzoor hoto phir aurat Ehtekaaf nahii karegi.
[ Majmua Al- Fataawa Ibn Usaimeen Rahimahullah (20/264) ]
0 Comments