Kya Quran Bhot Mushkil Kitab Hai (Maaz’Allah) Aur Khudse Quran Padhne Se Gumrah Hote ??
Aisa Kuch Mafadparsto Ka Kehna Hai, Aao Janne Ki Koshsih Karte Hai Inki Baato Mai Kitni Sachaai Hai...
Misaal – Aapka Ek Bacha Hai Jo Har Roz School Se Fatke Kha Kar Aata Hai, Aap Jakar School Ke Teachers Se Vajah Puchte Ho Ke- Kyu Marte Ho Maire Bacche Ko Har Roz,
To Wo Teacher Kehta Hai Ke – Ye Bacha Padhke Hi Nahi Aata Kuch, Kal Humne Physics Padhaya, Chemistry Padhaya, Fir Bhi Kuch Nahi Samjhta ,
Aap Kahoge – Ye To K.G. Me Admission Dilaya Maine Ise Teacher, Aur Aap To College Ke Subject Padha Rahe Usko , Aap Us Bewakuf Teacher Ko Fatke De kar Aaoge, Ke Wo Log Baccho Ko Aisa Syllabus Padhate Hai Jo Unki Umr Ke Liye Hai Hi Nahi ,
Ab Maira Ek Buniyadi Sawal Hai Ke, Allah Subhan Wa Tala Apne Bando Ke Liye Ek Kitab Bana Raha Hai,
Agar Wo Kitab Bando Ko Hi Samajh Na Aaye To Koun Bewakuf Hua Usme ?
Subhan’Allah Allah Subhan Wa Tala To Hikmat Wala Hai, Wo Ye Kaam Nahi Kar Sakta Ke Aisi Kitab De De Uske Bando Ko, Jisko Wo Padhna Farz Kare , Jispe Amal Ko Farz Kare Aur Ye Kahe Ke Tumko Samjh Me Nahi Aayegi
Jabki Ye Samhjh Aati Hai Siway Iske Ke Humne Ise Samjhna Na Chaha Aur Kuch Mafadparsto Ne Hume Samjhne Na Diya,
Aur Jaahir Si Baat Hai Ke, Jab Sabke Liye Qalam Hai To Kaise Hum Nahi Samjh Sakte Ise ?
Allah Subhan Wa Tala Quraan Me Farmata Hai [Surah (54) Qamar] me Aayat 17📗, 22📗, 32📗, 40📗 Aisi 4 Baar Ye Aayat Repeat Hoti Hai,
Ke Humne Iss Quraan Ko Nasihat Ke Liye Aasan Kar Diya Hai, To Hai Koi Padhne Wala Aur Is Se Nasihat Hasil Karnewala [Al-Quran: 54:17]
Allah Keh Raha Hai Aasan Hai Aur Baaz Log Keh Rahe Hai Mushkil Hai ,Subhan’Allah
Khudse Quraan Padhe To Gumaarah Ho Jate Ye Bhi Kaha Jata Hai Kuch Mafadparsto Ke Taraf Se,
Ek Sabse Ghatiya Aur Intehahyi Baqwas Vajah Ye Hai Aaj Humare Quraan Se Doori Ke, Ki Quraan Padhe To Gumraah Ho Jate , Subhan’Allah
Jo Quraan Insaniyat Ke Liye Kitab-e-Hidayat Hai Agar Wo Musalmano Ko Hi Gumrah Kar De To Kya Dawat Denge Hum Aur Aap Gair-muslimo Ko ?
Darhakikat Wo Log Khud Gumrah Ho Chuke Hai Iss Kitab Ko Chodkar Jo Kahte Hai Ye Kitab Gumrahi Deti Hai ,
Allah Subhan Wa Tala Ek Aayat Me Farmata Hai Ke
Jo Meri Hidayat Ki Pairvi Karega Wo Kabhi Gumraah Nahi Hoga
[Surah Taha Ayat 123]
Lihaja Allah Ki Kitab Hidayat Ki Hi Hai Wo Kabhi Gumraahi Nahi Deti Siway Iske, Ke Kafir Agar Ise Gumrahi Ki Niyat Se Padhe To Wo Gumrah Ho jayega,
Lekin Jo Hidayat Ki Niyat Se Padhta Hai Wo Sirf Aur Sirf Hidayat Hi Pata Hai ,
Gour Karne Wali Baat Hai Mere Azizo, Koi Aam Baat Nahi,
Ek Bade Mansubo Ke Tehat Musalmano Ko Apne Hi Rab Ke Qalaam Se Door Karne Ki Sajish Ki Ja Rahi Hai, Taaki Ummat Ki La-Ilmi Ka Fayda Uthakar Ye Log Apni Dukane Chala Sake,
Aur Na Jaane Kaise-Kaise Bahano Se Ummat Ko Allah Ki Kitab Se Door Rakha Gaya ,
Jabki Ye Kitab Agar Sabke Liye Hai To Ye Mushkil Kaise Ho Sakti Hai ?
Ha Ye Baat Alag Hai Ke Uski Gehrayi Tak Sab Nahi Ja Sakte, Ulema Aur Mufakkir Hi Jayenge, Lekin In Mafadparsto Ne Ulemao Ki Tafseer Bhi Nahi Padhni Di Logon Ko, Taaki Kahi Inki Poley Na Khul Jaye,
Yaad Rahe Agar Quraan Ek Samndar Hai To Isme Sab Tair Sakte Hai,
Lekin Gota Sirf Makhsus Log Hi Laga Saktey Hai,
Kyunki Ke Quraan Sabke Liye Aaya Hai ,
Allah Janta Tha Ke Ye Quraan Qayamat Tak Ke Liye Hidayat Hai , Isme Yahudi Honge , Isayi Honge, Majushi Honge , Tamam Kism Ke Mushrik Aur Kafir Honge ,
To Sabke Hisab Se Quraan Design Kiya Hoga Na Allah Ne Ke Sab Samjh Sake, Yakinan Sabke Liye Hidayat Hai Isme,
Aur Wakiyat Bhi Sunte Hai Hum Ke,
Falah Yahudi Quraan Padha To Imaan Laya, Falah Isayi Quraan Padha Aur Imaan Laya,
Kaise Iman Laya? Humare Over-Smart Hazrat To Kehte Hai Ke Ye Kitaab To Gumrahi Laati Hai … Subhan’Allah
Lihaja Hume Chahiye Ke Mafadparsto Ke Behkaawe Se Bahar Nikle Aur Allah Ki Kitaab Par Gour Kare,. Uska Muta’ala Karey Aur Use Tarzume Ke Sath Padhe Us par Amal Ki Koshish Kare
Aakhirat Mai Aise Logo Ki Sakht Pakad hone wali hai jo Allah ki Hidayat Ke Sath Aisa Sulooq Karte Hai,
Allah bachaye humein inke fitno se (Aameen)
Jazakallahu khairan for reading 🍁
0 Comments