QURAN Aur SUNNAT Par Amal Aur Un Par Mazbooti Se Jame Rehna
👉 Rasool Allah (ﷺ) apne Khutbah me Allah ki hamd wa sana bayan karte jo Un ki shayan e shaan hoti, phir Aap farmate:
"Jisey Allah rah dikhaye to koi usey gumrah nahi kar sakta aur jisey gumrah kar dein to usey koi hidayat nahi de sakta. Sab se sacchi baat Allah ki kitaab hai aur sab se behtar tareeka Muhammad (ﷺ) ka tareeka hai. Aur badtareen kaam naye kaam hain aur har naya kaam biddat hai aur har biddat gumrahi hai aur har gumrahi jahannum me le jaane wali hai."
[Sunan E Nasai #1579]
👉 Abdullah ibn Masud (رضي الله عنهم) ne kaha:
"Beshak sabse accha kalam Allah ki Kitaab (Quran) hai aur sabse accha tareeka (chal chalan) Muhammad (ﷺ) ka tareeka (Sunnat) hai."
[Sahih Bukhari #6098]
👉 Abdullah ibn Masud (رضي الله عنهم) ne kaha:
"Sab se accha kalam Allah ki kitaab (quran) hai aur sab se accha tareeka Muhammad (ﷺ) ka tareeka hai aur sab se buri nayi baat (biddat) paida karna hai (deen me) aur beshak jis ka tum se wada kiya gaya hai wo aa kar rahega aur tum us se bach nahi sakte."
[Sahih Bukhari #7277]
0 Comments