Shab-e-Barat Manana Chahye Ya Nahi


Shaban Maheene me 15th Shab ko "Shab e Barat" ke
naam se yaad kiya jata hai.
kuch log is Raat ke liye Shab-e-Qadr jaisi fazilate bayan karte hain....
Ye Aqeeda rakha jata hai ke is Raat pure Saal me hone wale Waqiyat ka faisla kiya jata hai is raat infiradi wa ijtimayee ibadato ka Ahtmam kiya jata hai...
Aatish baziya ki jati hain, Masjido me chiragha kiya jata hai, Bewa Aurte ye samajhti hain ke unke Shoharo ki roohe is raat aati hain isliye behtreen qism ke pakwan tayyar karke unka intezar karti hain..

🔴 Shab-e-Barat ki Fazilat me Quran ki ye ayat paish ki jati hai
Humne is (Quran) ko Mubarak Raat me Nazil farmaya, hum logo ko darane wale hain."

[Al-Dukhhan Aayat no.3]

Jabki in ka yeh qoul sarasar ghalat wa be-buniyad hai jiski daleel ye hai ke Allah Rabbul Izzat ne is ayat me jis raat ko mubarak raat kaha hai woh Ramadan ki Shab-e-Qadr hai na ke Shab-e-Barat

Qki ye baat har Musalman janta hai ke Quran-e-Kareem ka Nuzul Ramadan me hua hai na ke Shahban ke mahine me...

Allah Rabbul Izzat Quran-e-Kareem me Irshad
farmata hai
"Ramadan to woh Mahina hai jisme Quran Nazil
kiya gaya

[Surah Al-Baqra 2:185]

🔴 Doosri jagah Allah Rabbul Izzat irshad farmata hai
"Humne is (Quran) ko Shab-e-Qadr me nazil farmaya
tumhe kya malum ke Shab-e-Qadr kya hai, Shab-e-
Qadr me ek Raat ki ibadat Hazar mahino ki ibadat se
behtar hai."

[Surah Al-Qadr 97:1-3]

in ayaat se maloom hua ke Surah Dukkhan ki ayat no.
3 me jis Mubarak Raat ki taraf ishara kiya gaya hai
usse murad Shab-e-Qadr hai na ke Shab-e-Barat.
Shaban ki 15wi Raat ki fazilat me jo bhi hadeese
bayan ki jati hain sab ki sab mozoo ya zaeef hain...

isi tarha is raat ki ibadato ke Silsile me jo bhi hadees
bayan ki jati hain woh sari mozoo (unauthentic)
hain....

👉 RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ke "Allah Ta'ala 15wi Shahban ki Raat ko matlah ho kar Mushriq wa Qeena parwar ke siwa poori makhlooq ko Muaf kar deta hai."

[Ibn-E-Majah; Silsila Saheeh 1652]

Lekin is hadees me is raat ke liye makhsoos ibadat karne ki na koi daleel hai aur na hi kisi ibadat ka hukum diya gaya hai aur jahan tak logo ki Maghfirat ki baat hai to ye sirf isi raat ke sath khas nahin hai balke ye to har din hota hai....
Jaisa ke Sahih Hadees se sabit hai ke "Allah Subhanhu Ta'ala har din aakhri Raat ke pehar me sama duniya par aata hai aur ye ailan karta hai ke koun hai jo mujhe pukare phir mai uski dua ko qabool karu, kaun hai jo mujhse sawal kare aur mai usey doo, kaun hai jo mujh se maghfirat talab kare aur phir mai uski maghfirat kar doon."

[Sahih Bukhari 6321]
isse maloom hua ke Gunaho ki Maghfirat ka kaam
humesha hota rehta hai yeh sirf Shab-e-barat ke
sath khas nahin..

Haqeeqat yeh hai ke Shab-e-Barat ka islam se koi
talluq nahin hai isey ijad karne wale raafdi hain...

Ab koi ye kahe ke hum is Raat ibadat hi to karte hain to isme burayi kya hai ?

to yaad rakhe burayi ibadat me hargiz nahin hai, burayi hai iss baat me ke jo baat Allah ke Rasool (ﷺ) ne nahi batayi woh hum kaise kar sakte hain ?

Ek insan agar asr ke 4 farzo ki jagah 5 padhne lage to kya woh Sahih hoga ?

🔴 Hargiz nahi jabke wo ek rakat Namaz hi zyada padh raha hai par RasoolAllah (ﷺ) ne 4 bataye hain to hum usse zyada ya kum nahin kar sakte...

Isi tarha ibadat Allah Ta'ala ke yahan wo Qabool
hogi jiske karne ka hukum RasoolAllah (ﷺ) ne diya hai aur Shab-e-Barat ki ibadat kisi bhi Sahih Aahdees se sabit nahin...

zara sochiye ke agar yeitni Fazilat wali raat hoti to kya Sahaba Ikram iss raat ko ibadat na karte ?

Koi ek bhi wakiya Sahaba-e-Karam se sabit nahin ke unn logo ne iss raat ko khas ibadat ki ho....

jo khas ibadat ki raat hai wo to Ramzan ki Shab-e-Qadr hai usme jitni chahe ibadat karein..

Ek baat yaad rakhein ke allah ta'ala uss ibadat ko qabool karta hai jisme Niyat khalis Allah ki Raza ki ho aur tareeqa khalis RasooIAllah (ﷺ) ka ho Alhamdulillah! humara deen kamil hai RasoolAllah (ﷺ) apni ummat ko deen ke Muamle har tarha
ki tarbiyat kar gaye hain, gar humne itna kar liya jitna hamein bataya gaya hai to IN'SHA'ALLAH humara Rab hamse razi ho jayga...❤

Kisi bhi Biddat ko chhota na samjho :
RasoolAllah (ﷺ) ne Biddat karne wale ko kaha hai ke woh hum me se nahin....
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya "Jisne humare deen me koi nayi cheez ijad ki jiska deen se koi taulluq nahin hai to woh mardood hai

[Sahih Al Bukhari 2697]

Ek aur riwayat me aata hai ke "Deen ke andar nayi nayi cheeze dakhil karne se baaz raho! bila-shubha "kullu bida-tan zalalah, wa kulo zalala-tin fin nar"
(Deen me) har nayi cheez biddat hai aur har biddat
gumrahi hai aur har gumrahi jahannum me le jane wali hai."

[Abu Dawood 7064]

RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : "Jisne humare is deen me apni taraf se koi nayi cheez paida ki, jo is me se nahi hai toh wo mardood hai (yani wo deen se kharij
hai), har nayi cheez (jo deen me paida ho) biddat hai aur har biddat gumrahi hai aur har gumrahi, jahannum me le jaati hai."

[Sahih Al Bukhari 2696]
[Sahih Al Muslim 1718]
[Sunan Nasai 3/188]

RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : "Sabse Behtar amr (Amal ke liye) Allah ki kitab hai aur sabse behtar tareeqa Muhammad (ﷺ) ka tareeqa hai aur sabse badtareen kaam deen me nayi nayeei baton ka paida karna hai aur har nayi baat gumrahi hai."

[Sunan lbn Majah 45]

(Jo log biddat ko taqseem karke Gumrahi pehla rahe hai jaise Bidat-e-Sayya, Biddat-e- Hasna un Hajrat ke liye ye hadees se behtareen aur koyi islaah nahi)
Abdullah ibn Umar(Raziallahu Anhu) farmate hain, "Tamam Biddatein Gumrahi hai Agarche "Ba-zaahir wo logon ko acchi lagein."

[Sunan Kubra Baihaqi Hadith138]
 

Post a Comment

0 Comments