Shab_E_Barat Maafi Naama


Shab-E-Barat Mein Whatsapp Group aur Social Media par jise dekho Maafi maangne mein laga hua hai, In Messages ko padh kar mai bht zor zor se hansta hun....

Jahalat ki had paar kar di hai logo ne, Maafi-Naama Message Bhejna15 Shaban Ko Jayez Nahi...Aisa Karna Sunnat E Nabwi Se Sabit Nahi Hai Balki Jab Galti Ho Tabhi Maafi Mang Lenaa Chahiye...

Deen Me Koi Bhi Nayi Cheez shamil Karna Biddat Hai

Rasool Allah (ﷺ) Ne Farmaya "Har Biddat (Deen Me Nayi Cheez) Gumrahi Hai aur har Gumrahi Ka Thikana Jahannum Hai...

[Sahih Muslim #2005]

Jisne Hamare Is Deen Me Kuch Aisi Baat Shaamil Ki
Jo Usme Se Nahi Hai To Wo Amaal Mardood Hai..

[Sahih Bukhari #2629]

Agar koi haqiqat me Allah se apne gunaho ki magfirat chahta hai to use Insan ke Rubaru ho kar maafi maangna chahye,
Kyunki kisi ko takleef ya dukh pahuchane ka ya jhoot ka shara lekar logo me fitna paida karne ka, Aapas me dushmani lagane ka kaam insan se hota hai...



Agar hume apni Galtiyon ka ya Gunaho ka Ehsas hua hai humare Dilon me agar waqai Khauf-E-Khuda jaaga hai to kayro ki tarah Social Media ka sahara kyun le, sachchi Tauba ka irada lekar saaf dil se samne aa jaa kar maafi maangna chahye

Allah ki raza ke liye ki jaane wali pahal me sharmindgi kaisi, aapki niyat sachii hogi to pahal aap karenge,

Haan agar duniyavi Rasm ada karni hai to fir Whatsapp Fb ya Insta par se kisi ka bhi Maafi-Naama copy kar ke sabko bhejte raho

Isse hoga ye ki aapke Gunah to barkarar hi rahenge aur aapke Dil ko jhuti tasalli zarur mil jayegi ki mene Message bhej kar maafi to maang li hai

Allah hum sabko sahi Raasta dikhaye aur sachche Dil se Tauba karne ki Taufeeq ata farmaye (Aameen)

Maa Naraz, Behan Naraz, Bhai Naraz, Pados wale Naraz, Rishtedar Naraz Aur hum Social Media me unse Maafi maang rahe hain jinko hum jante tak nahi Hadd hai...

Post a Comment

0 Comments