Shirk Kya Hai ? Shirk Kise Kahte Hain



Shirk Kya Hai ??
Kaun kaun sa Aqeeda Shirk Mein Aata Hai ?

SHIRK : Iski mean hoti hai ALLAH ke sath sidhe (Directly) ya ulte (indirectly) tarah se kisi or ko shareek karne ko shirk kahte hain.

1) ALLAH ke Alawa kisi or ki "Qasam" khana shirk hai

Ye Sab ki "Qasam" Khana Shirk hai😢😢

👉1] Maa ki Qasam❌
👉2] Baap ki Qasam❌
👉3] Apni Qasam❌
👉4] Tumhari Qasam❌
Wagaiara Wagaiara.....
👉 ALLAH ke Alawa kisi or ki "Qasam" khana shirk hai

[Abu Dawood:  3251]
[Tirmizi:1535]

2) Chupa hua "SHIRK" hai Agar koi "Namaz" ko Ache se ada kre ki Bagal wala  muje dekh raha hai.😢

👉 Nabi kareem ﷺ ne farmaya: kya main tum ko aisi cheez ke baray mein nah bata dun jo mere nazdeek maseeh Dajjal se bhi zeyada khatarnaak hai? hum ne arz kiya: kyun nahi? aap ﷺ ne farmaya: woh posheeda [chhupa hua] shirk hai jo yeh hai ke aadmi namaz padhne khada hota hai, to apni namaz ko sirf is wajah se khoobsurti se ada karta hai ke koi [bagal wala] aadmi usay dekh raha hai.

[Ibn E Majah 4204]

3) Qawwali me "Shirkiya" Alfaz 😢

a) Shirk:
👉  "Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad"
(kyuki Jholi bhrne wala, Rozi dene wala sirf Allah hai)

b) Shrik :
👉 "Jo Mang Dar E Mustafa Se Maang"
(Kyuki Allah ne kaha mujhse mango to kisi bhi Gair se mangna jayz nhi Chahe wo Rasoolullah ﷺ bhi kyu na ho)

4) Kisi Jagah ya Ghar ko Manhoos Manna Shirk hai.

👉 Kuch logo ka kam kharab ho Jata hai to kahte hain ki ye Jagah hi kharab hai Manhoos hai, Aisa Aqeeda Rakhna BadShagooni hai, or Ye Shirk hai.

👉Rasoolullah ﷺ ne 3 Baar Farmaya Badshaguni Shirk hai, or Ham me se har aik ko Waham ho hi Jata hai, Lekin Allah Esko Tawakkal se Door Farma deta hai.

[Sunnan e Abu Dawood #3910]
[Tirmizi 1614]
[Ibn E Majah 3538]

Badshaguni hota kya hai ?

khud se ye kahna ki :

👉1) Us din baal na ktwao nhi to kuch ho Jayega.
👉2) Us maheene me Shadi na karo nhi to kuch ho jata hai.
👉3) Hath me khujli hoto paisa aayega.
👉4) Billi Rasta kat de to us Raste se Na jao.
Wagaira wagiara......

👉Rasoolullah ﷺ ne farmaya: Jisko "Badshaguni" ne Kisi kaam se Rok diya Usne "Shirk" kiya.
[Musnad Ahmed#7768 islam360]

5) Bachho ko Kaala Teeka lgana

👉Bachho ko Kaala Teeka lgana, taaki wo Buri Nazar se Bachega, Aisa Aqeeda Rakhna Shirk hai kyuki Buri Nazar bachane wala Allah hai, Kaal teeka nhi.

6) Aurat ko Godi dena

👉Aurat ko Godi dena (Chawal ka kuch Dana dena) Jisme ye Aqeeda hota hai ki Aulad jaldi ho jaayegi.
👆 Aisa Aqeeda Rakhna Shirk hai, kyuki Aulad dene wala Allah hai, Chawal ka dana nhi.
[Surah Saffat 37/100]

7) Ullu ke rat ko bolne se koi Aafat aati hai.

👉 Ullu ke rat ko bolne se koi Aafat aati hai, aisa manna BadShaguni hai.
👉 BadShaguni: khud se Aisa sochna ki us din ye kaam karo to Aisa ho jata hai, Waha es Waqt jao to kuch hone ka Imkan rahta hai, wagaira Wagaira....
👉 Nabi ﷺ ne Farmaya: Bad Shaguni  koi cheez nhi

[Abu Dawood #3915]
[Sahih Bukhari #5757]

8) Jisne Taweez latkayi usne "Shirk" kiya😢😢

👉 Allah ke rasool[saw]  farmaya jisne taweez latkayi usne shirk kiya.

[Musnad Ahmad 7740]

logic jo di jati hai : 👉 Kuch log jo taweez latkaye huye hote hain jab un se pucha jata hai ki ap ne ye kyu latkaya hai to jawab dete hain ki Allah ne kaha hai ki quran me shafa hai to hme quran ki aayat latkane me kya bura hai
👉 Allah ne quran me "shahad" (Honey) ko bhi shafa kaha hai to kya aap Shahad ki botel latka kr ghumte hain ya pite hai shafa ke liye..
👉 To thik es tarah quran ko Allah ne padhne me shafa diya hai na ki latka kr ghumne me

"SHIRK Karne wale ke Sare Amal Barbad hain (Na qabile Qubool)❌

👉 "Aye nabi ﷺ beshak apki taraf bhi aur apse pehle [k tamaam nabiyo] ki taraf bhi wahi ki gai hai k agar apne shirk kiya to beshak apka amal zaaya (bekar) ho jaega or aap nuqsan uthane walo me se ho jaenge"

[Surah Zumar 39, Ayat 65]

👆 Agar aapka aisa Aqeeda hai to Aaj hi Tauba kare or Allah se maafi mange kyuki Es Aqeede pr Apki maut ho gyi to wo maut "Shirkiya" Aqeede pe hogi, or Allah Shirk ko maaf nahi krega.

Shirk ki maafi nahi (Agar wo Shirk ki Halat me mare to) ❌

Allah ne farmaya :
👉 Mai chahu to sare gunaho ko maaf kar sakta hun lekin shirk kabhi maaf nahi karunga

[Quran Surah : 4/48,116]

Post a Comment

0 Comments