ALVIDA JUMMA YA AAKHRI JUMMA KYA HAI


ALVIDA JUMMA YA AAKHRI JUMMA KYA HAI


Islamic Mahina Ramzan k Aakhri Ashre me Aakhri Jumma ko Log Bahut hi josh o kharosh k sath jumma ki Namaz ada karne jaate hai..
Isliye ki Aisa Jumma phir Dubara unhe Nahi milega..
Lekin Quran ki kisi bhi aayat se, Kisi bhi Hadith se, Nabi (ﷺ) Ke kisi bhi Amal se aisi koi "Dalil" Nahi milti ki Ramzan k Aakhri Jumma ko Khas Banaya gaya ho...

Yeh Sarasar Galat hai..

Aam Jumma k Tarah hi ye bhi Ek Jumma hai..
Isme KHAAS koi ibadat nahi hai..

Jo Ramzan k Akhri Asre ki ibadat hai wahi karna hai..

ALLAH aur Nabi (ﷺ) ki baato Ko "Ulemaao" ne Jhutlaya..(Astagferullah) aur apne Qayas ko Deen ka hissa bana liya..
Aur Log unhi ki baato ko sunte aur Amal bhi
karte hai..

Unhone Apne Ulema aur Darweshon ko
ALLAH K siwa Apna RAB bana liya"

[Surah Touba Aayat No 31]

Rasool (ﷺ) Ka Farman hai : "Jisne Hamare Deen main Koi Nayi Cheeze Ijad Ki Jiska Deen Se Koi Talluq Nahin Hai Tu Wo Mardood Hai "

[Sahih Bukhari Hadith Number 2697]

Kya ye nahi jaante k jo bhi Allah ki aur Uske Rasool (ﷺ) ki mukhalifat karega us k liye yaqeenan dozakh ki Aag hai jis me woh hamesha rehne wala hai ye zabardast ruswayi hai

[Surah Touba Aayat No. 63]

Deen ke Andar Nayi Nayi Cheeze Dakhil Karne Se Baaz Raho Bila shubha HAR NAYEE CHEEZ BIDDAT HAI AUR HAR BIDDAT GUMRAHI HAI AUR HAR GUMRAHI JAHANNAM ME LEKAR JAYEGI".

[Sunan Nasai Hadees Number 1581]

ALVIDA JUMMA KE DIN KOI KHAAS NAFIL NAMAZ NAHI


Jis Shakhs ki Namazein Qaza ho aur tadad maloom na ho, to wo Ramazan ke aakhri jumah (Alvida Juma) ke din 4 Rakat Nafil 1 salam se padhe, har rakaat me Surah Fatiha ke baad Ayatal kursi 7 baar aur Surah Kausar 15 baar padhe, agar 700 saal ki namazein bhi qaza hui ho to iske Kaffare ke liye ye namaz kaafi hai.

Aur is baat ko Nabi Kareem (ﷺ) ki taraf mansoob kiya ja raha hai.

Ye baatein Msgs/whatsapp waghaira par badi
aam hai aur aam musalman ise haqeeqat samajh
rahe hain.

Likhne wale ne baat ko Huzoor Aqdas (ﷺ) ki taraf mansoob kar diya aur koi hawala nahi diya ???

Ye baat bilkul Galat aur manghadat hai.

Yaad rahe ke Allah ke RasoolAllah (ﷺ) ne irshad farmaya : "Jo Mujh par Jhoot baandhe(yani
Jhooti baat ki nisbat kare) to wo Apna Thikana
Jahannam me banale."

[Sahih Bukhari Hadees Number 107]

soche ye kitni badi waeed hai isliye is jaisi posts/
msgs ko share karne se ahtiyat Karein.

Jo bhi baat ko share karna ya msg karna ho to uski tahqeeq kar len isi baat ka hamein Quran o Hadees me huqm milta hai.
Is baat ko tamam musalman bhai behno ko bataye taki wo aisi jhooti baaton se khud bhi bachein aur dusron ko bhi bachaye.

Allah paak hame Sahih Fikr O Amal ki taufeeq ata
farmaaye (Aameen)

🌷Share With Others🌷
💐Jazakallahu Khairan💐

Post a Comment

0 Comments