Astaghfar Ki Dua In Roman Urdu Sahih Hadees Se


ASTAGHFAR SAHIH HADEES SE


“Jo shaks koi bura kaam kar baithe ya apne haqq me
zulm karle phir Allah se astaghfar kare to wo Allah ko bakhashne wala, meherbaani karne wala payega.”
– Quran (4:110)

استغفراللہ

👉 Astagfirullah

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Khushkhabri hai us shaks ke liye jo apne naama aamaal me kasrat se Astagfar paaye.”

[Ibn Majah 3818]

👉 Astaghfirul lahal azeema-l lazi la ilaha illa
huwa-l hayya-l qayyuma wa-aatubu ilahi

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Jo shaks kahe – Mai maghfirat mangta hoon Allah Rabb ul Izzat se jis ke siwa koi mabood bar haqq nahi hai, Jo zinda hai aur har cheez ka nigahbaan hai aur mai Usi se tawbah
karta hoon – To uski maghfirat kar di jaaegi chahe wo lashkar (ya fauj) se bhag hi kyun naa aaya ho.”
[Tirmizi 3577]

👉 Astaghfirullah wa aaotubu ilahi – 100 times

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Mai to har roz Allah Ta’ala se 100 baar astaghfar aur tauba karta hoon.”

[Ibn Majah 3815]

👉 Allahumma-ghfirli warhamni wa-aafini
warzuqni

Rasool Allah (ﷺ) ke paas ek shaks aaya aur bola: “Ya Rasool Allah, mai kyaa kahun jab apne Rabb se mangun?” Aap (ﷺ) nefarmaya: “Kaho – Aye Allah mujhe baksh dijiye, mujh par reham kariye, meri hifazat kariye aur mujhe rizk ata farmaiye – aur Aap (ﷺ) in kalmo ko farmate waqt ek ek ungli band karte jaate the to sab band kar leen sirf anghoota
rah gaya.
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Ye kalme dunya aur Akhirat
dono ke faede tumhare liye ikhatte kar denge.”

[Sahih Muslim 2697]

👉 Allahumma-ghfirli warhamni wahdini
wa-aafini warzuqni
Ibn Malik (Radhi Allahu Anhu) se riwayat hai ke:
“Jab koi musalman hota to Rasool Allah (ﷺ) usko namaz sikhate phir in kalmo ke saath duaa karne ko kehte – Aye Allah mujhe baksh dijiye, mujh par rehem kariye, mujhe seedhi rah par chalaiye, meri hifazat kariye aur mujhe rizk ata farmaiye.”

[Sahih Muslim 2697]

👉 Rabbi aghfirli waaotub ilayya innaka anta
tawwabur raheem

Abdullah ibn Umar (Radhi Allahu Anhu) kehte hain:
“Hum gina karte the Rasool Allah (ﷺ) majlis me – Aye mere Rabb mujhe baksh dein, meri tauba qubool farma len, Aap hi tauba qubool farmane wale aur rehem karne wale hain –100 baar kehte the.”

[Ibn Majah 3814]

👉 Rabbighfirli Rabbighfirli

Hudaifah ( Radhi Allahu Anhu) kehte hain ke:
“Rasool Allah (ﷺ) dono Sujood ke darmiyaan ye kehte the –Aye Rabb mujhe baksh dein, Aye Rabb mujhe baksh dein.”

[Sunan Nasai 1145]

👉 Subhanakalla humma rabbana wa
bihamdika Allahumma aghfirli

Aisha (Radhi Allahu Anha) ne farmaya ke:
“Rasool Allah (ﷺ) aksar rukuh aur sajde me ye padha karte the – Aap sabse mahaan hain, aye Allah, hamare Rabb, aur sab tareef aap hi ke liye hai. Aye Allah! Mujhe baksh dein.”

[Sahih Bukhari 817]

👉 Allahumma aghfirli zanbi kullahu dikkahu wa jillahu wa awwalahu wa akhirahu wa alaniyatahu wa sirrahu

Abu Hurairah (Radhi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke:
“Rasool Allah (ﷺ) sajda me ye duaa karte the – Aye Allah! Baksh dein mere sab gunaho ko, thode ho ya bohot, awwal ho ya akhir, chupe ho ya khule.”

[Sahih Muslim 483]

👉 Allahumma inni zalamtu nafsi zulman
kasiran, wala yaghfiruz-zunuba illa anta, faghfirli maghfiratan min indika warhamni, innaka antal Ghafur ur Rahim

Abu Bakar Siddique (Radhi Allahu Anhu) ne Rasool Allah (ﷺ) se kaha ke: “Mujhe esi duaa sikha dijiye jisey mai apni namaz me padha karun.” Aap (ﷺ) ne farmaya ke: “Ye kaha karo – Aye Allah, mai ne apni jaan par bohot zulm kiya hai aur gunaho ko Aap ke siwa koi maaf nahi karta to meri maghfirat kar dein, esi maghfirat jo Aap ke paas se ho aur mujh par reham karein, beshak Aap bade maghfirat karne
wale, bade rehem karne wale hain.”

[Sahih Bukhari 6326]

👉 Astagfirullah Astagfirullah Astagfirullah
Allahumma antas salamu wa minkas salamu tabarakta dhal-jalali wal-ikram

Thauban (Radhi Allahu Anhu) ne kaha ke:
“Rasool Allah (ﷺ) jab apni namaz se farigh hote to teen baar astaghfar karte aur kehte – Aye Allah, Aap salamati wale hain aur Aap se salamati hai, Aap ba Barkat hain, Aye azmat aur izzat ke Maalik.”
Walid ne kaha: “maine Auza’I se pucha astaghfar kese hai?”
Kaha: “Astagfirullah kehte yaani Mai Allah se maghfirat mangta hoon.”

[Sahih Muslim 591]

👉 Allahumma inni asalukal affaw wal afiyah

Aisha (Radhi Allahu Anha) ne farmaya:
“Agar mujhe maloom ho ke Laylatul Qadr ki raat konsi hai to mai Allah se bakshish aur tuhafuz mangungi.”

[Sunan Nasaai al Kubra 10714]

👉 Allahumma anta Rabbi la ilaha illa anta,
khalaqtani wa ana ‘abduka wa ana ‘ala ‘ahdika wa wa’dika, mastata’tu a’uzu bika min sharri ma sana’tu, abu’u laka bi ni’matika ‘alaiya, wa abu’u laka bi zanbi faghfirli, fa innahu la yaghfiruz-zunuba illa anta

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya ke:
"Syed al Istighfar (Allah se maghfirat mangne ka sab se afzal tareeka) ye hai ke yun kahe – Aye Allah, Aap mere Rabb hain, Aap ke siwa koi mabood nahi. Aap ne hi mujhe paida kiya aur mai Aap ka hi banda hoon. Mai apni takat ke mutabik Aap se kiye gaye ahad aur wadah par qayam hoon. Un buri harkaton ke azaab se jo maine ki hain Aap ki panah mangta hoon. Mujh par nematein Aap ki hai iska iqrar karta hoon. Meri maghfirat karden ke Aap ke siwa aur koi bhi gunah nahi maaf karta.”
Phir Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Jis ne is duaa ke alfaaz par yakeen rakhte hue dil se in ko keh liya aur usi din us ka inteqaal ho gya shaam hone se pehle to wo Jannati hai aur jis ne is duaa ke alfaaz par yakeen rakhte hue raat me inko padh liye aur phir us ka subha hone se pehle inteqaal hogya to wo Jannati hai.”

[Sahih Bukhari 6306]

👉 Subhanaka Allahumma wa Bihamdika wa ashhadu an la ilala illa anta astaghfiruka wa atubu ilayka

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Jo shaks kisi majlis me baithe aur usse bohot si laghu (be mayne) aur behuda batein ho jaayen aur wo apni majlis se uth jaane se pehle padh le –Paak hain Aap Aye Allah, aur sab tareef Aap ke liye hi hai, mai gawahi deta hoon ke Aap ke siwa koi mabood bar haqq nahi, mai Aap se maghfirat chahta hoon aur Aap ki tarah rujuh karta hoon – to us ki us majlis me us se hone wali
laghzish (khata) maaf kar di jayengi.”

[Tirmizi 3433]

👉 Allahumma-ghfir lihayyina wa mayyitina wa shahidina wa gha'ibina wa zakarina wa unsana wa saghirina wa kabirina

Awf bin Malik (Radhi Allahu Anhu) kehte hain ke:
“Maine Rasool Allah (ﷺ) ko ek mayyat par namaz padhte suna, to maine suna ke Aap (ﷺ) uske liye duaa me ye keh rahe the – Aye Allah, hamare zinda aur murda ko, hamare hazir aur gayib, hamare mard aur aurat, hamare chote aur bade sab ko baksh dein.”

[Sunan Nasai 1986]

KUCH DUSRE ASTAGHFAR :

👉 Allahumma-ja’lni khayran mimma yazunnuna, wa-ghfir li ma la ya’lamuna, wa la tu’akhizni bima yaqulun

Aye Allah, mujhe us se behtar bana dein jo wo mere bare me sochte hain aur mujhe un baton ke liye maaf kar dein jin ko wo mere baare me nahi jaante aur mujh se un baton ka hisaab naa lein jo wo mere bare me kehte hain hain.

👉 Allahumma innaka afuwwun tuhibbul afwa fa’fu annee
Aye Allah, Aap sabse zyada bakhashne wale hain, maaf karne ko pasand karte hain, isliye mujhe maaf farmaiye.

👉 Allahumma ighfir li

Aye Allah, meri maghfirat farmaiye.

👉 Allahumma-ghfir lil muslimina wal muslimati wal muminina wal muminati al ahya-I minhum wal-amwati

Aye Allah, baksh dein musalman mard aur aurat ko, aur momin mard aur aurat ko, zinda aur murda sab ko.

👉 Allahumma rahatan wa maghfiratan wa husna khatima wa jannatan arzuha-s samawati wal-arzi

Aye Allah, hamein sukoon, maghfirat, ek accha anjaam (maut), aur ek baag aasmano aur zameen jitna wasee (jannat) ata farmaiye.

🌷Share With Others🌷
💐Jazakallahu Khairan💐

Post a Comment

0 Comments