Duniya Aazmaish Aur Fitno Ka Ghar

 

Duniya Aazmaish Aur Fitno Ka Ghar


👉 Ameer ul momineen Syedna Muawiya bin abi sufyan radiallahu ta'ala anhuma se riwayat hai ke nabi kareem ﷺ ne farmaya :


 ”لَمْ يبقَ منَ الدُّنيا إلَّا بلاءٌ وفتنةٌ“ 


"Is Duniya mein siwaye azmaish aur fitne ke kuch baaqi nahi raha!"


[Sunan Ibn E Majah Hadees Number 4035]


Ise shaykh albaani ne sahih kaha hai


👉 Tarjumaan ul quran Syedna Abdullah bin masood radiallahu ta'ala anhu farmate hain :


 ”ذَهَبَ صَفْوُ الدُّنْيَا، وَبَقِيَ كَدَرُهَا، فَالْمَوْتُ تُحْفَةٌ لِكُلِّ مُسْلِمٍ.“ 


"Duniya ki achhaiyan khatm ho gayi aur buraiyaan baqi hain chunanche aaj marna har musalman ke liye tohfa (qaid khane se rihayi ki tarah/jannat) hai"


 [Hilyatul Auliya Wa Tabaqaat Al Asfiya : 406]


👉Yaani ye duniya is qadr fitno aur Aazmaishon se bhar chuki hai ke lagta hai aasaish aur khair ka wajood khatm ho gaya hai, bilkul usi tarah jis jaise kisi cheez ki intihaa hone ko ho to us ka umdah hissa khatm aur raddi hissa peechhe bach chuka hota hai....


📜 - [موقع الدرر السنية]

🌷Share With Others🌷
💐Jazakallahu Khairan💐

Post a Comment

0 Comments