EID UL FITR
EID UL FITR AUR USKA HUKM
2 Hijri mein Roza farz howa, sadqat ul fitr bhi usi saal
wajib huwa aur usi saal pehli baar Eid ul Fitr ki namaz ada ki gayi. Eid ki namaz musalmanon par wajib hai, baghair uzr ke is se peeche reh jaane waala gunehgaar hai.
Wujoob ki daleel Sahi hain ki us Hadees se milti
hai jis mein Nabi (ﷺ) ne Haizah aurat tak ko Eidgah jaane ka hukm diya hai. (Wo Hadees aage aa rahi hai).
Yahi mauqif Shaikh ul Islam Ibn e Taimiyah,
Shaikh Albani, Shaikh Ibn e Baaz, Shaikh ul Hadees
Ubaidullah Mubarakpoori Rahimahumullah ka hai.
EID KA CHAAND - Ramadan ki 29 tareekh ko chaand dekhne ka ehtimaam karna chaahiye.
Wazeh rahe ke Ramadhan ke chaand ki ruiyyat ke liye ek aadil Musalman ki gawahi kaafi hai magar Ramadhan ke alawah baqiya tamam maheeno ke
liye do aadil musalman ki gawahi zaroori hai. Jab chaand nazar aaye to yeh dua padhen:
[Sunan Tirmizi Hadees Number 3451]
Allama Albani Rahimahullah ne “Silsila As Saheehah: 1816” mein isko sahih kaha hai.
FITRANE KI ADAIGI - Eid ka chaand nikalne se Fitre ka wajibi waqt shuru ho jata hai lehaza Eid ki namaz se pehle pehle dhai kilo (2.50kg) anaaj ghar ke choote bade tamam logon ki taraf se nikaal ke Fuqara or Masakeen ko de den:
Tarjumah: Abdullah bin Umar Radhiallahu Anhuma se riwayat hai ki Allah ke Rasool (ﷺ) ne Ramadan mein musalmaanon mein se har shakhs par azaad ya gulaam, mard ho ya aurat, choota ho ya bada khajooron ka ek saa’ ya jaw (barley) ka ek saa’ Sadqat ul fitr muqarrar farmaya.
[Sahih Muslim Hadees Number 984]
EID KI RAAT IBADAT - Eid ki raat ibadat karne se mutalliq ek riwayat bayan ki jaati hai. Riwayat yeh hai:
Tarjumah: Jis ne Eid ul Fitr aur Eid ul Azha dono raton ko ajr o sawaab ki niyat se Allah Taala ke liye qiyam kiya us ka dil us din murda nahi hoga jis din dil mar jayenge.
[Ibn E Majah Hadees Number 1782]
Yeh riwayat gadhi hue (Mauzoo’) hai, is liye is
se Daleel nahi pakdi jayegi. Is riwayat ko Shaikh Albani Rahimahullah ne “Zaeef Ibne Majah: 353” mein Mauzoo’ kaha hai aur “Silsilah as Zaeefah: 521” mein sakht za’eef kaha hai. Deegar Muhaddiseen ne bhi ise za’eef qarar diya hai.
Goya Eid ki raat ibadat karne se mutalliq fazeelat waali koi riwayat saabit nahi hai. Is ka yeh matlab hargiz na liya jaaye ke us din qiyam nahi kiya jaa sakta hai, jis tarah doosri raaton mein qiyam karne ka sawab hai is umoom mein yeh raat bhi daakhil hai.
TAKBEER - Chaand raat ko sooraj doobne se le kar namaz e Eid tak Takbeer padhna sunnat hai, yani Eid ki raat se le kar khutba khatm hone tak Takbeer padhna chaahiye. Ghar mein ho, bazaar mein ho ya masjid mein. Mard hazraat buland aawaaz se padhen aur khawateen past (halki) aawaz mein.
Allah Taala ka farmaan hai:
Tarjumah: Woh chaahta hai ke tum ginti poori kar lo
aur Allah Taala ki di hue hidayat par us ki badaiyan
bayan karo aur us ka shukr karo.
[Surah Al-Baqarah, Surah No: 2 Ayat No: 185]
TAKBEERAT KE SAABIT SHUDA ALFAAZ -
"ALLAHU AKBAR,ALLAHU AKBAR,LA ILAHA ILLAHU ALLAHU AKBAR,ALLAHU AKBAR,WALILLAHIL HAMD"
Is ki sanad ko Allama Albani Rahimahullah ne
sahih kaha hai.
[Irwa ul Ghaleel: 3/125]
“Allahu akbar kabeera,allahu akbar kabeera,allahu akbar,wajallu,allahu akbar ala ma hadana”
Iski sanad ko Allama Albani Rahimahullah ne sahih kaha hai.
[Irwa ul Ghaleel: 3/126]
Allahu akbar kabeera, Allahu akbar kabeera,Allahu akbar kabeera”
Is ko Shaikh Ibn e Taimiyah Rahimahullah ne saabit kaha hai.
[Majmoo’ ul Fatawa: 23/326]
“Allahu akbar,allahu akbar,allahu akbar kabeera”
Hafiz Ibn e Hajar Rahimahullah ne ise Takbeer
ka sab se sahih Segha jo saabit hai kaha hai.
[Fatah ul Bari: 2/462]
👉 Takbeer mein yeh dhiyaan rakhna chaahiye
ke ijtima’i taur par Takbeer kehna yani sab ek aawaz ho kar Takbeer kahen yeh bidat hai.
EID KA ROZA - Eid ke din roza rakhna mana hai:
Tarjumah: Hazrat Abu Hurairah Radhiallahu Anhu
farmate hain ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne do dinon (yani) Eid ul Fitr aur Eid ul Azha ke din roza
rakhnay se mana farmaya hai.
[Sahih Muslim Hadees Number 1138]
Ghusl, Libaas aur Khusbhu:Eid ke din ghusl karna mustahab hai. Behtar hai Fajr ki namaz ke baad ghusl kare, agar kisi wajah se is se pehle ghusl kar liya to bhi koi harj nahi.
Isi tarah umdah or saaf suthra kapda pahenna
chaahiye jaisa ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se Eid ke din khoobsurat chadar odhne ka suboot milta hai aur khusbhu Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ko bahut pasand thi is liye hamein bhi use pasand karna chaahiye.
EID KE DIN KHAANA - Khajoorein khaa kar Eidgaah jaana masnoon hai:
Tarjumah: Anas bin Malik Radhiallahu Anhu farmate
hain ki Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam Eid ul Fitr ke din chand khujoorein khaaye baghair na nikalte.
[Sahih Bukhari Hadees Number 953]
Taaq khajoorein khaa kar Eidgaah jaana chaahiye jaisa ki riwayaat se pata chalta hai
(Dekhen: Bukhari #953) aur khajoor na ho to jo bhi mile khaa le.
EIDGAAH PAIDAL JAANA - Paidal Eidgaah jaana chaahiye aur usi tarah wapas aana chahiye :
Tarjumah: Ibn e Umar Radhiallahu Anhuma se riwayat hai ki Nabi (ﷺ) Eidgaah paidal jaate or paidal hi wapas tashreef laate.
[Ibn E Majah Hadees Number 1295]
Allama Albani Rahimahullah ne isko Sahih kaha hai.
Zarooratmand aadmi sawari par sawaar ho sakta hai.
Wapas lautte huwe raasta badal dena chaahiye:
Tarjumah: Jabir Radhiallahu Anhu kehte hain ki Eid ke din Rasool e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ek raaste se jaate phir doosra raasta badal kar aate.
[Sahih Bukhari Hadees Number 986]
Raaste ke badalne ki hikmat se mutalliq bohot
saare aqwaal mlite hain, sab se achcha jawab Shaikh Ibn e Uthaimeen ka hai ke is ki hikmat Nabi (ﷺ) ki ittibaa’ aur pairwi hai.
EIDGAAH - Eid ki namaz khule maidaan mein ada ki jaaye albatta zaroorat ke tehat Masjid mein bhi ada ki jaa sakti hai jaisa ki barish ki wajah se Nabi (ﷺ) ne Masjid mein Eid ki namaz padhi thi.
EID KI NAMAZ AUR KHAWATEEN - Nabi (ﷺ) ne aurton ko Eid ki namaz padhne ka hukm diya lehaza khawateen ko Eid ki namaz mein shareek hona chaahiye chaahe woh boodhi hon ya jawaan, shadi shuda hon ya ghair shadi shuda aur baligha hon ya na baligha yahan tak Aap (ﷺ) ne Haizah aurat ko bhi Eidgaah jaane ka hukm diya taaki woh musalmanon ki dua mein shareek ho sake:
Tarjumah: Hazrat Umm e Atiyyah Radhiallahu Anha se riwayat hai wo kehti hain ki Nabi (ﷺ) ne hamein hukm farmaya ke aurton ko Eid ul Fitr aur Eid ul Azha mein Eidgaah le jaayen jawaan ladkiyon, haiz waali aurton aur parda nasheen khawateen ko bhi, haan haiz waali aurtein namaz se alag rahein lekin woh khair mein aur musalmanon ki dua mein shareek hon, main ne arz kiya Aye Allah ke Rasool (ﷺ)! Hum mein se kisi ek ke paas chadar na ho to ?
Aap (ﷺ) ne farmaya: Us ki behan us ko apni chaadar pehna de.
[Sahih Muslim Hadees Number 890]
Is liye Eid ke din khawateen ke liye afzal hai ke
woh Eidgah jaayen. Zimmedaaron ko chaahiye ke
khawateen ke liye alag se intizam karen taaki khawateenbhi mardon ke saath Eid ki namaz padh saken.
Khawateen ka alag se Eid ki namaz ada karna sabit nahi hai.
EID KI NAMAZ KA TAREEQA
👉 Eidgaah mein Eid ki namaz se pehle ya us ke baad koi namaz nahi hai, isi tarah Eid ki namaz ke liye azaan o Iqamat bhi nahi hai.
👉 Namaz e Eid sirf do rakat hai. Pehli rakat mein saat (7) Takbeerein aur doosri rakat mein paanch
(5) Takbeerein padhe.
KHUTBA E EID - Namaz ke baad imam mard o khawateen ko wa’z o naseehat kare. Khutba sahih qaul ki roshni mein sunnat hai, wajib nahi hai.
Eid ki namaz ke baad Nabi (ﷺ) ne farmaya tha:
Tarjumah: Jo lautna pasand kare woh laut jaaye aur jo khutba sunne ke liye rukna chaahe woh ruk jaaye.
[Sunan E Nasai Hadees Number 1571]
Allama Albani Rahimahullah ne is ko Sahih kaha hai.
👉 Juma’ ki tarah is ka sunna wajib nahi lekin wa’z o naseehat ko sune baghair jaana bhi nahi chahiye.
👉 Eid ka ek hi khutba Hadees se saabit hai.
👉 Khutba ke bad ya Namaz e Eid ke baad ijtima’i dua ka suboot nahi milta lehaza is nai ijaad se bachna chaahiye.
JUMA ’ KE DIN EID KI NAMAZ - Agar juma’ ke din Eid ki namaz pad jaaye to us din juma’ ki namaz padh satke hain ya phir Zohr hi ada karna kaafi hoga:
Tarjumah: Ibn e Umar Radhiallahu Anhuma se marwi
hai ke Rasoolallah (ﷺ) ke zamaane mein ek saath do Eid jama ho gayi (yani Eid aur juma’) to Aap (ﷺ) ne logon ko Eid ki namaz padhaayi phir farmaya: Jo shakhs juma’ ke liye aana chaahe aaye, aur jo na chaahe na aaye.
[Ibn E Majah Hadees Number 1312]
Allama Albani Rahimahullah ne is Hadees ko
Sahih li Gairihi kaha hai.
NAMAZ E EID AUR QAZA
👉 Agar kisi ko ek rakat mil jaaye to us ne Eid ki
namaz paa li, jo aakhri rakat ke sajde ya tashahhud mein imam ke saath mile to woh Eid ki namaz ki tarah namaz ada kar le.
👉 Agar kisi ki Eid ki namaz choot jaaye to Eid ki namaz ki tarah ada kar le, chand log hon to jamat
qaayem kar le. Jinhon ne kaha Namaz e Eid ki qaza nahi sahih baat nahi hai.
Qaza ka bhi aasaar se suboot milta hai. Neez jis asar se qaza ki soorat mein chaar rakat padhne ka zikr milta hai use Shaikh Albani Rahimahullah ne “Irwa ul Ghaleel” mein munqata qarar diya hai. Qaza karte huwe do rakat hi ada kare aur khutba e Eid chor de.
EID KI MUBARAKBADI - Eid ke din ek doosre ko in alfaaz mein mubarakbad di jaaye: (Allah Taala hum sab ki Eid aur deegar aamaal e saliha qubool farmaaye)
Tarjumah: Jubair bin Nufair (Taba’ee) bayan karte
hain ki Nabi Kareem (ﷺ) ke Sahaba e Kiram Radhiallahu Anhum Eid ke din jab ek doosre se milte to ek doosre ko kehte: (Allah Taala mujhse aur aap se qubool farmaye).
Islo Shaikh Albani Rahimahullah ne Sahih kaha hai.
[Tamam ul Minnah: 354]
Hafiz Ibn e Hajar Rahimahullah ne ise Hasan
kaha hai.
[Fatah ul Baari: 2/517]
EID KE DIN KHEL - Eid ke din khushi ke izhaar mein jaaiz khel ka muzahra kare to koi harj nahi.
Eid ke din Habsha ke logon ka dhaalon aur Barchon se khelna saabit hai. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne bhi is khel ko dekha aur un Habshiyon ko mazeed khelne ko kaha.
Yeh Hadees Sahih Bukhari (950) mein Kitaab ul Eidein ke tehat mazkoor hai.
🌷Share With Others🌷
💐Jazakallahu Khairan💐
0 Comments