Kya 7 Din Ya 10 Din Ki Taraweeh Padhna Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Se Sabit Hai


KYA "7 DIN KI, 10 DIN KI" TARAWEEH PADHNA NABI (ﷺ) YA SAHABA SE SABIT HAI ?
YA POORE MAHEENE IBADAT KARNA ZAROORI HAI ?

👉 Kuch log "7 din ki, 10 din" ki Taraweeh padh kar Free ho jate hain, Aur Aisa Sochte hain ki Humne 1 Quran poora kr liya yhi Ramazan ki Ibadat ho gyi aur kaafi hai.

👉 Lekin Sahaba karam or Salaf e saleheen se poore Ramazan ibadat karne ka Suboot milta hai, Na ki "7 din ya 10 din" ki Taraweeh padh kr apne Apko Samjh lena ki yahi kaafi hai.

👉 Jaisa ke Nabi (ﷺ) ne Farmaya:
Jo koi Ramazan ki poori Ratoo me Qeyam Kiya Uske Pichle Gunah Maaf kar Diye Jayenge.

[Sahih Bukhari Hadees Number 37]

Iss Hadees se ye pata Chalta hai ki Nabi (ﷺ) ne Poore Ramazan ki Raato me Ibadat karne ko kaha Na ki "7 din ya 10 din" Wagairah.
Isliye Poore Ramazan Ibadat karni Chahiye

🌷Share With Others🌷
💐Jazakallahu Khairan💐

Post a Comment

0 Comments