KYA KOI ROZA RAKHE AUR NAMAZ NA PADHE TO KYA ROZA QUBOOL HOGA ???
👉 Nabi (ﷺ) Ne Faramaya : Jisne "Asr" Ki Namaz Chhodi Uske Sare Amaal Zaya (Bekar) Ho Gaye..
[Sahih Bukhari Hadees Number 553]
Zara Sochiye Nabi (ﷺ) Ne Yahan Sirf "Asr" Ki Namaz Chhodne Wale Ke Bare Mein Kaha Ki Uske Amaal Bekar Ho Gaye...
Agar Koi Saari Namaz Chhod Raha Hai To Uske Baaki Amaal Kaise Qubool Honge ?
Kisi Bhi Amal Ke Qubool Hone Ke Liye Shart Hai Ki Aap "SHIRKIYA YA KUFRIYA" Amal Na Karte Ho...
👉 Aur Namaz Ke Bare Mein RasoolAllah (ﷺ) Ne Farmaya: Jisne Janbujhkar Namaz Ko Chhoda Usne Kufr Kiya.
[Ibn E Majah Hadees Number 1079]
Matlab Ye Hai Ki Namaz Ka Na Padhna Aapko Kufr Tak Le Jata Hai
👉 Aur Shirk Ya Kufr Karne Wale Ke Amaal Qubool Nahi Hote...
👉 Allah Ta'ala Quran Mein Farmata Hai : Aye Nabi (ﷺ) Beshak Aapki Taraf Bhi Aur Aapse Pahle Bhi Tamam Nabiyon Ki Taraf Bhi Wahee Ki Gayi Hai Ki Agar Aapne Shirk Kiya To Beshak Aapka "AMAL" Zaya (Bekar) Ho Jayega Aur Aap Nuqsan Uthane Walo Mein Se Ho Jayenge...
[Surah Zumar Ayat Number 65]
In Saari Hadeeso Par Kayi Ulema Ye Kahte Hai Ki Koi Namaz Janbujhkar Chhode To Uska Roza Bhi Qubool Nahi Hoga.
(ALLAHU ALAM)
🌷Share With Others🌷
💐Jazakallahu Khairan 💐
0 Comments