Kya Watan Ki Mohabbat Imaan Ka Hissa Hain
RasoolAllah (ﷺ) Ki Taraf Ek Hadees Mansoob Ki Jati Hai
«حب الوطن من الإيمان»
Watan Ki Mohabbat Imaan Mein Se Hai
Ye Hadees "Mangharat" Hai
In Alfaaz Ke Sath Is Hadees Ko Ka Koi Wajood Nahi Hai..
Shaikh Albani Ne Is Hadees Ko "Mangharat" Karar Diya Hai...
Bila Shuba Insan Ko Apne Watan Se Fitri Taur Par Mohabbat Hoti Hai Aur Iss Mein Koi Burayi Bhi Nahi Hai
gar Aitedal Ka Raasta Na Chhoda Gaya Ho...
Magar Is Mangharat Hadees Mein To Watan Ki Mohabbat Ko "Imaan Ka Hissa" Karar Diya Gaya Hai...
MAKKAH SE MOHABBAT
Abdullah Bin Abbas Radhiallahu Anhu Kahte Hai :
RasoolAllah (ﷺ) Ne Makkah Ko Khitab Kar Ke Farmaya :
مَا أَطْيَبَكِ مِنْ بَلَدٍ وَأَحَبَّكِ إِلَيَّ، وَلَوْلَا أَنَّ قَوْمِي أَخْرَجُونِي مِنْكِ مَا سَكَنْتُ غَيْرَكِ
Kitna Pakeezah Sahar Hai Tu, Kitna Mahboob Hai Tu Mujhe...
Meri Qaum Ne Agar Mujhe Tujhse Na Nikala Hota To Main Tere Siwa Kahin Aur Na Rahta..
Abdullah Bin Adi RaziAllahu Anhu Kahte Hai Ke Maine Nabi Kareem (ﷺ) Ko Makkah Mein Ek Jagah Khade Ye Kahte Suna :
وَاللَّهِ إِنَّكِ لَخَيْرُ أَرْضِ اللَّهِ، وَأَحَبُّ أَرْضِ اللَّهِ إِلَى اللَّهِ، وَلَوْلَا أَنِّي أُخْرِجْتُ مِنْكِ مَا خَرَجْتُ
Allah Ki Qasam, Tu Allah Ki Zameen Mein Sabse Behtar Hai, Aur Allah Ki Zameen Mein Tu Allah Ko Sabse Zyada Mahboob Hai, Agar Meri Qaum Ne Mujhe Tujhse Nikala Na Hota To Makn Na Nikalta.
[Sunan Tirmizi Hadees Number 3925]
[Ibn E Majah Hadees Number 3108]
💐Jazakallahu Khairan💐
0 Comments