LAILAT UL QADR KI AHMIYAT O FAZEELAT
Lailat ul qadr ki ahmiyat o fazeelat par ek mukammal Surat nazil hue hai jis se is ki fazeelat ka bakhoobi andaza lagaya jaa sakta hai.
Beshak hum ne ise (Quran) ko shab e Qadr
mein nazil farmaya. Aur Aap ko kya maloom ke shab e qadr kya hai.
Shab e Qadr hazaar maheeno se behtar hai.
Is (mein har kaam) ke sar anjaam dene ko apne Rabb ke hukm se farishte aur Rooh (Jibraeel) utarte hain. Yeh raat salamti ki hoti hai aur Fajr ke tulu hone tak (rehti hai).
[Surah Al Qadr: Surah No: 97 (Mukammal)]
Is Surat mein chand fazail ka zikr hai.
👉 Shab e Qadr mein Quran ka nuzool howa yani ek-baargi mukammal Quran Looh e Mehfooz se aasman e duniya par nazil kiya gaya jo 23 salon mein qalb e Mohammad (ﷺ) par nazil kiya gaya.
👉 Yeh qadr o manzilat waali raat hai, qadr ki tafseel Allah ne hazaar maheeno se bayan ki jo mubalgha par dalalat karta hai yani yeh raat hazaron maheeno se behtar hai.
👉 Yeh is qadr azeem raat hai ke is mein firshton khaas taur se Jibraeel Alaihissalam ka nuzool hota hai un kamon ko sar-anjaam dene jin ka faisla Allah Taala is saal ke liye karta hai.
👉 Yeh mukammal raat sarapa aman o salamti waali hai. Momin bandah shaitan ke sharr se mehfooz ho kar Rabb ki khalis ibadat karta hai.
👉 Is raat saal mein hone waale maut aur zindagi aur zindagi ke wasaail ke baare mein saal bhar ka faisla kiya jaata hai:
Isi raat mein har ek mazboot kaam ka faisla kiya jata hai.
[Surah Ad-Dukhan, Surah No: 44, Ayat No: 4]
👉 Lailat ul qadr mein qiyam ka sawaab pichle saare gunaahon ka kaffara hai. Nabi (ﷺ) ka farman hai:
Jo koi shab e qadar mein Imaan ke saath or sawaab ke hasil karne ki niyat se qiyam karta hai us ke sabiqa (guzre hue) tamam gunah mu’aaf kar diye jaate hain.
[Sahih Bukhari: 1901]
👉 Lailat ul qadr ki fazeelat se mahroom hone
waala har qism ki bhalaayi se mahroom hai:
Anas bin Malik Radhiallahu Anhu se riwayat hai wo kehte hain ke Ramadhan ka maheena aaya to Nabi (ﷺ) ne farmaya: Tumhaare paas yeh maheena aa gya hai, is mein ek raat hai jo hazaar (1000) maheeno se afzal hai. Jo shakhs us raat (ka sawaab hasilkarne) se mahroom reh gaya, wo har bhalaayi se mahroom reh gaya uske khair se wahi mehroom rehta hai jo waqa’ee mehroom hai.
[Ibn e Majah: 1644]
Allama Albani Rahimahullah ne is Hadees ko Hasan Sahih kaha hai.
LAILAT UL QADR KA TA'AUUN
Lailat ul qadr ke ta'auun ke silsile mein ulama ke mukhtalif aqwaal milte hain magar rajeh qaul yeh hai ke Lailat ul qadr Ramadhan ke aakhri Ashre ki taaq raton (21, 23, 25, 27, 29) mein se koi ek hai. Is ki daleel Nabi (ﷺ) ka farmaan hai:
Lailat ul Qadr ko Ramadhan ke aakhri
Ashre ki taaq raton mein talaash karo.
[Sahih Bukhari: 2017)]
KYA SATTAISVEEN (27TH) KI RAAT LAILAT UL QADR HAI ?
Kuch logon ne sattaisveen (27th) ki raat ko Lailat ul qadr qaraar diya hai jo sahih nahi hai. Yeh sahih hai ke kuch riwayaton mein shab e qadr sattaisveen (27th) ki raat ko bataayi gayi hai magar sattaisveen (27th) ko hi hamesha ke liye shab e qadr qarar dena galat hai. Is ke kuch reasons hain:
1) Bukhari ki Hadees (2017) is mauqif ki tardeed karti hai jis mein shab e qadr ko paanch taaq (odd) raaton mein talaash karne ka hukm diya gaya hai, sirf sattaisveen (27th) ki hadees le kar faisla karna durust nahi hai.
2) Ahadees mein sattaisveen (27th) ke alawah doosri raat ka bhi zikr hai. Sahihain (Sahih Bukhari aur Sahih Muslim) mein mazkoor hai ke Nabi (ﷺ) ne shab e qadr paane ke liye kabhi pehle Ashre mein Aitekaf kiya, kabhi darmiyani Ashre mein Aitekaf kiya to kabhi aakhri Ashre mein aur aakhir mein farmaya:
Mujhe Lailat ul qadr dikhaayi gayi, magar
fir bhula di gayi ya (aapne yeh farmaya ki) main khud bhool gya. Is liye tum use aakhri Ashre ki taaq raton mein talaash karo.
[Sahih Bukhari: 2016 and Sahih Muslim: 1167]
Ek riwayat mein hai:
Jis ko shab e qadr ki talaash ho woh usi
hafte ki aakhri (taaq) raaton mein talaash kare.
[Sahih Bukhari: 2015 and Sahih Muslim: 1165]
In ke alawah kisi riwayat mein 21 ka zikr hai, kisi mein 23 ka zikr hai, kisi mein 25 ka zikr hai to kisi mein 29 ka zikr hai.
In saari riwayaat ko saamne rakhte huwe Ashr e akheer (aakhiri Ashre) ke andar wus’at (kushadgi) paayi jaati hai, un mein sab’e akheer aur deegar saari riwayaat daakhil hain. Is wajah se shab e qadr aakhri Ashre ki koi taaq (odd) raat hai. Yahi mauqif aksar ahl e ilm ka hai.
Jahan tak sattais (27) ka masla hai to kisi saal
sattais ki raat qadr ki raat hogi jaisa ki kabhi 21, kabhi 23, kabhi 25 to kabhi 29 rahi.
Iski wajah yeh hai ke yeh raat har saal aakhri Ashre ki paanch Taaq raaton mein se kisi ek raat mein muntaqil hoti rehti hai.
3) Nabi (ﷺ) ke farameen ke alawah Aap ka amal bhi saabit karta hai ke Lailat ul qadr aakhri Ashre ki koi ek Taaq raat hai:
Aisha Radhiallahu Anha bayan karti hain ki jab (Ramadhan ka) aakhri Ashra aata to Nabi (ﷺ) apna tehband mazboot baandhte (yaani apni kamar poori tarah kas lete) or unraaton mein Aap khud bhi jaagte aur ghar waalon ko bhi jagaaya karte the.
[Sahih Bukhari: 2024]
LAILAT UL QADR KI NISHANIYAAN
Ahadees mein is raat ki kuch nishaniyaan milti hain:
👉 SUBAH KE SOORAJ MEIN SHU’A NAHI HOTI :
Yeh (Lailat ul qadr) sattaisween (27th) subah ki raat hai, aur is ki nishani yeh hai ke us din ki subah ko sooraj safaid tulu’ hota hai, us ki koi shua (rays) nahi hoti.
[Sahih Muslim: 762]
👉 LAILAT UL QADR MO’TADIL HOTI HAI :
Qadr ki raat narmi waali mo’tadil hai, na garam na thandhi, us raat ki subah sooraj ki roshni kamzor aur surkhi maa’il hoti hai.
[Sahih al Jami’ (Albani): 5475]
👉 KABHI BARISH BHI HO SAKTI HAIN :
Main ne (khawab mein) khud ko keechad mein sajdah karte huwe dekha.
[Sahih Bukhari: 813]
Lailat ul qadr se mutalliq logon mein galat baatein mashhoor hain
FOR EXAMPLE : Is raat kutte nahi bhonkte, gadhe kam bolte hain. Samandar ka khaara paani bhi meetha ho jaata hai. Darakht (trees) zameen ko sajda karte hain phir apni jagah laut jaate hain. Har jagah roshni hi roshni hoti hai, is din shaitan sooraj ke saath nahi nikal sakta. Waghera waghera.!
LAILAT UL QADR MEIN HUM KYA KAREIN ?
Hadees mein Lailat ul qadr ke husool ke liye Nabi (ﷺ) ki bahut zyada mehnat ka zikr milta hai :
Aisha Radhiallahu Anha bayan karti hain ki jab (Ramadhan ka) aakhri Ashra aata to Nabi (ﷺ) apna tehband mazboot baandhte (yaani apni kamar poori tarah kas lete) or un raaton mein Aap khud bhi jaagte aur ghar waalon ko bhi jagaya karte the.
[Sahih Bukhari: 2024]
Is Hadees mein teen batein zikr ki gayi hain :
👉 Kamar kas lete ,Yaani ibadat ke liye bahut ziyadah mehnat karte. Aurton se doori ke meaning mein bhi aaya hai.
👉 Shab bedaari karte: Yaani raat mein ibadat
ke liye khud ko bedaar rakhte.
👉 Apne ahl o ayaal ko uthate : Yaani apne ahl o ayaal ko bhi ibadat ke liye jagaate kiunki yeh ahem raat hoti hai.
Khulasa e kalaam yeh hai ke shab e qadr mein
ibadat par khoob khoob mehnat karna hai taaki hum us ki fazeelat paa saken jaisa ki Nabi (ﷺ) ka farmaan hai :
Jo koi shab e qadar mein Imaan ke saath or sawaab ke hasil karne ki niyat se qiyam karta hai uske sabiqa (guzre huwe) tamam gunah maaf kar diye jaate hain.
[Sahih Bukhari: 1901]
Qiyam ke saath zikr o dua aur tilawat o manajaat bhi is raat mein karen. Is raat ki ek khusoosidua hai jo Nabi (ﷺ) ne apni ummat ko sikhaayi hai:
Aisha Radhiallahu Anha se riwayat hai unhon ne kaha: Aye Allah ke Rasool (ﷺ)! Agar mujhe shab e qadr mil jaaye to main konsi dua padhun?
Aap (ﷺ) ne farmaya ke tum padho : (Aye Allah tu mu’aaf karne waala hai mu’aafi ko pasand karta hai lehaza tu mujhe mu’aaf kar de).
[Ibn e Majah: 3850]
Allama Albani Rahimahullah ne is Hadees ko
Sahih kaha hai.
Sunan Tirmizi mein “Afuwwun ke baad “kareem” ki ziyadti hai, is ziyadti ki koi asal nahi yaani yeh saabit nahi hai.
🌷Share With Others🌷
💐Jazakallahu Khairan💐
0 Comments