Masjid Al-Aqsa Aur Uske Fazail
1) Masjid Al-Aqsa Ke Ird Gird Zameen Ba-Barkat Hai :
Allah Ka Farmaan Hai :
"Paak Hai Wo Allah Jo Apne Bande Ko Raat Hi Raat Me Masjid-e-Haraam Se Masjid-e-Aqsa Tak Le Gaya Jiske Aas Paas Humne Barkat De Rakhi Hai."
2) Zameen Par Masjid Al-Haram Ke Baad Dusri Masjid :
Abu Zar Gaffari (r.a) Farmatey Hai:
"Maine Nabi (ﷺ) Se Pucha: Ya Rasool Allah! Sabse Pahle Kounsi Masjid Banayi Gayi ?
Farmaya Masjid Al-Haram!
Maine Sawal Kiya, Uske Baad Kounsi ?
Farmaya Ke Masjid Al-Aqsa.
3) Masjid A-Aqsa, Qibla-e-Awwal :
Bara' (r.a) Farmatey Hai:
"Humne RasoolAllah (ﷺ) Ke Saath 16 Mahine Ya 17 Mahine Tak Bait ul-Muqaddas Ki Taraf Namaz Padhi Phir Humko Kaabe Ki Taraf Pher Diya Gaya."
4) Allah Ki Raza Ke Liye Masjid Al-Aqsa Ka Safar Karna:
Nabi (ﷺ) Farmatey Hai:
"Teen(3) Masajid Ke Siwa Aur kisi Jagah Ke Liye
Shaddu Rihaal (Safar) Na Kiya Jaaye,
Masjid-e-Haram, Masjid-e-Aqsa Aur Meri Masjid (Masjid-e-Nabawi)."
Note- Shaddu Rihaal Matlab Sawab Ki Niyyat Se Safar Karna.
5) Masjid Al-Aqsa Aur Meraj Un Nabi (ﷺ)
1. Meraj Se Pahle Nabi (ﷺ) Ko Masjid Al-Aqsa Le jaya Gaya.
2. Nabi (ﷺ) Ne Masjid Al-Aqsa Me Ambiya (a.s) Ki Ek Badi Jamaat Dekhi.
3. Nabi (ﷺ) Ne Masjid Al-Aqsa Me Ambiya (a.s) Ki Imamat Karwayi.
4. Allah Ne Nabi (ﷺ) Ke Saamne Masjid Al-Aqsa Ka Naqsha Saamne Rakha Taake Kuffar Ko Nishaniya Bata Sake.
6) Masiid A-Aqsa Aur Sulaiman (A.S) Ki Dua:
Nabi (ﷺ) Farmatey Hai:
"Sulaiman Bin Dawood (a.s) Ne Jab Bait ul-Muqaddas Ki Tameer Farmayi To Allah Se 3 Chize Maangi. (Unme se Ek Ye Hai) Allah Se Dua Ki Ke Jo Koi Is Masjid (Masjid AI-Aqsa) Me Sirf Namaz Ke Liye Aaye To Usey Uske Gunaho Se Aisa Paak Karde Jaise Ke Wo Us Din Tha Jis Din Uski Maa Ne Usse
Jana."
MASJID AL-AQSA
Ya Allah, Masjid Al-Aqsa Ki Mohabbat
Hamare Dilo me daal de.
Masjid Al-Aqsa Aur Palestine ke tamaam Logo ki Hifazat Farma.
Hum tamaam Musalmano Ko Kafiro Par Galba Ataa Farma.
0 Comments