Musibat-Pareshani Ke Waqt Padhne Ki Dua


PARESHANI KE WAQT PADHNE KI DUA

👉 Asma bint Umais (رضي الله عنها) kehti hain ke: Mujh se Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:

"Kya mai tumhein chand aise kalimaat naa sikhaun jinhein tum musibat ke waqt ya musibat me kaha karo ? (Wo ye hain) :

« اللَّهُ اللَّهُ رَبِّي لاَ أُشْرِكُ بِهِ شَيْئًا »

(Allahu Allahu rabbi la ushriku bihi shai'an)

Allah, Allah hi mera Rabb hai, mai Un ke saath kisi ko shareek nahi karti."

[Sunan Abu Dawood Hadees Number 1525]


👉 RasoolAllah (ﷺ) halat pareshani me ye duaa kiya karte the:

« لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ الْعَظِيمُ الْحَلِيمُ، لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ رَبُّ الْعَرْشِ الْعَظِيمِ، لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ رَبُّ السَّمَوَاتِ، وَرَبُّ الأَرْضِ، وَرَبُّ الْعَرْشِ الْكَرِيمِ ‏»

(La ilaha illallahul-Azimul-Halim, La ilaha illallahu Rabbul arshil-Azim, La ilaha illallahu Rabbus-samawati wa Rabbul-ardi, wa Rabbul-'arshil karim)

Allah ki siwa koi ibadat ke layak nahi jo azmat wala, bada burdbar hai. Allah ke siwa koi ibadat ke layak nahi jo arsh azeem ka Rabb hai. Allah ke siwa koi ibadat ke layak nahi jo aasmano ka Rabb hai aur zameen ka Rabb hai aur arsh kareem ka Rabb hai.

[Sahih Bukhari Hadees Number 6346]

« لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ الْعَظِيمُ الْحَلِيمُ، لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ رَبُّ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضِ، وَرَبُّ الْعَرْشِ الْعَظِيمِ »

(La ilaha illallahul-Azimul-Halim, La ilaha illallahu Rabbus-samawati wal-ardi, wa Rabbul-'arshil-azim)

Allah ki siwa koi ibadat ke layak nahi jo azmat wala, bada burdbar hai. Allah ke siwa koi ibadat ke layak nahi jo aasmano aur zameen ka Rabb hai aur arsh azeem ka Rabb hai.

[Sahih Bukhari Hadees Number 6345]

👉 Anas bin Malik (رضى الله عنه) ne farmaya: "Jab koi kaam Rasool Allah (ﷺ) ko sakht takleef wa pareshani me daal deta to aap (ﷺ) ye duaa padhte:

« يَا حَىُّ يَا قَيُّومُ بِرَحْمَتِكَ أَسْتَغِيثُ »

(Ya Hayyu Ya Qayyum, bi rahmatika astaghith)

Aye Zinda, Aye (zameen wa aasmaan) ko qayam rakhne wale! Aap ki Rahmat me Mai rahat chahta hoon."

[Tirmizi Hadees Number 3524]

👉 Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: "Qayam raho (yaani apni duaaon me barabar padhte raho) :

« يَا ذَا الْجَلاَلِ وَالإِكْرَامِ »

(Ya Dhal-Jalali Wal Ikram)

Aye Azmat aur Izzat ke Maalik."

[Tirmizi Hadees Number 3525]


🌷Share With Others🌷

💐Jazakallahu Khairan 💐

Post a Comment

0 Comments