NAMAZ E TARAWEEH KI RAKATON KI TADAD NAMAZ Abu Salma bin Abdur Rahman (رحمة الله) ne khabar di ke Umm al Momineen Aishah (رضي الله عنها) se unhone pucha ke : "RasoolAllah (ﷺ) ramzan me (raat ko) kitni rakatein padhte the ?"
A'isha (رضي الله عنها) ne jawab diya ke: "Rasool Allah (ﷺ) (raat me) gyara rakaton se zyada nahi padhte the Chahe ramzan ka mahine hota ya koi aur.
Pehle Aap (ﷺ) chaar rakat padhte, un ki khoobi aur lambai ka kya puchna. Phir Aap (ﷺ) chaar rakat aur padhte, un ki khoobi aur lambai ka kya puchna. Phir teen rakatein (witr) padhte."
[Sahih Bukhari Hadees Number 1147]
NOTE : 11 rakat (8 rakat taraweeh + 3 witr) padhna sunnat hai. Us se zyada ya kam padhne ki bhi ijazat hai lekin sunnat par amal karna hamesha behtar hota hai to In sha Allah koshish karen 11 rakat padhne ki.
0 Comments