Ramadan Ka Akhiri Jumma Ki Koi Khasoosiyat Shariat Se Sabit Nahi


Ramazan Ka Akhiri Jumma Ki Koi Khasoosiyat Shariat Se Sabit Nahi


Jumm Alvida ki Istalah ek Nayi Istalah hain, Shariat ke andar kiska koi zikr nahi milta,

is ta'alluq se jo khas Namazein Waghairah Adaa ki jati hain woh sab biddat hain Qur'an o Sunnat, Salaf e Saliheen ke Aasaar aur ahle ilm ke aqwaal ki roshni mein jo baat sabit hain

wo in Faraiz ki Pabandi hain jinhe Allah ta'ala ne Apne Bando par Farz kiya hain

jaise Farz Namazein, Roze waghairah is tarah in Nawafil ki pabandi jin ko Allah ke Rasool (ﷺ) ne Masnoon o Mustahab qarar diya hain.


Iske alawa jo bhi nayi ibadaat logon ne deen ke andar ijaad ki hain wo sab biddat hain aur Allah ta'ala ke yaha na Qabil e Qubool hain.


Is naam se bahut sari biddatein aur iski Mangharat Fazeelatein Mukhtalif Shaklon mein payii jati hain aur ye biddatein Mukhtalif Mulko mein Mukhtalif andaaz aur Tareeqe se anjaam

di jati hain iske Chand misalein mandarja zail hain.


1) Namaz : Ek Namaz hain jise kuch Awam aur Biddati log Ramadan ke Aakhri Jumma mein adaa karte hain aur ye aqeedah rakhte hain ki is namaz ke Adaa karne se zindagi bhar ki chhutti hui Farz Namazein maaf ho jati hain jab ki iski koi Buniyad Shariat mein maujood nahi hain.


2) India ke bahut sare Musalaman Jumma Alvida ko ek Aham deeni Munasbat aur Ijtima ka din tasawwar karte hain

Chuna-che wo log is din kisi badi Masjid ka rukh karte hain aur ek badi Tadaad mein Wahan Jumma ke liye hazir hote hain,

Pahle bayan ho chuka hain ke haqeeqat mein is Jumma ki koi khaas Fazeelat sabit nahi hain aur aisa gumaan aur aqeedah rakhe wohl galat hain balki zaruri hain ke Jumma aur ba-Jamat namaz ka hamesha ihtimaam kiya jaye illa ye ke insaan ke paas koi Sharai Uzar ho.


3) Isi tarah ek aur namaz jo ke "Salat Al-Faida" ke naam se logon mein mashoor hain, Iski bhi koi haqeeqat aur Buniyaad Shariat mein maujood nahi


Shaykh ibn uthaymeen (r.a) se is namaz yaani Salat Al-Faida ke mutalliq Daryaft kiya gaya


Jis ke bare mein kaha jata hain ke ye 100 Rakat hain aur ek dusre qaul ke mutabiq 4 rakat hain jo Ramadan ke Akhri Jumma mein padhi jati hain, 


kya ye baat sahih hain aur is namaz ka kiya

Hukm hain ?


Shaikh (R.A) ne jawab diya :


Ye baat sahih nahi hain aur is naam ki koi namaz Shariat mein sabit nahi hain balki sari Namazein Faide wali hain aur farz namaz ka Faida sabse bada hain kyunki har farz ibadaat Nafli ibadaat se Afzal hoti hain.


Isliye insaan ko aise azkaar o Namazon bachna chahiye jo logon mein raaej hain aur inki koi haqeeqat Sunnat se Sabit nahi, neez Wazeh rahe ke ibadaat se ke mamle mein asal momanat hain,


chuna-che kisi ke liye jayez aur durust nahi ke wo Allah ta'ala ke liye aisi koi ibadaat kare jiska allah ne na apni kitaab mein hukm diya hain aur na Allah ke Rasool (ﷺ) ne apni hadees mein Farmaya, jab bhi insaan ko ye Shaq ho ke ye amal ibadaat hai ya nahi ?


To asal yahi hai ke wo ibadaat nahi hai yaha tak ke is amal ke ibadaat hone ke liye Qur'an o Sunnat se koi daleel Sabit ho jaye.


[Majnmoo' Fataawa wa Rasaa'il Ibn 'Uthaymeen 14/331]


4) Isi tarah kuch log is Jumma ko "Yateem Jumma" ka naam dete hain jiski koi asal aur Buniyaad Shariat mein maujood nahi, Ramadan ke Aakhri Jummah ki baaqi dinon ke bil-mugabil koi khas Fazeelat sabit nahi hain, isi tarah se bimari se shifa yabi ka bhi is Jumma se koi talluq

nahi jaisa ke log is baat ka aqeedah rakhte hain.


🌷Share With Others🌷

💐Jazakallahu Khairan💐

Post a Comment

0 Comments