Ramadan Ke Baad Inn 5 Cheezon Ko Kabhi Na Chhodein
- NAMAZ
- SUBAH WA SHAAM KE AZKAR
- QURAN
- TAHAJJUD
- ROZA
1) NAMAZ
5 Waqt ki Namaz Allah Ta'ala ne Musalmano par
Hamesha ke Liye Farz ki hai, Sirf Ramadan me
nahi Lehaza Jo Ramadan me Humne 5 Waqt ki
Namaz Padhi Usko Jaari Rakhe Uske Saath 12
Sunnat Namaz ka bhi Ahtemaam kare.
RasoolAllah (ﷺ) farmate hai:
"Beshak Aadmi aur Shirk wa Kufr ke Darmiyan Fark karne waali cheez Namaz hai"
Lehaza Humesha 5 Waqt ki Namaz ka Ahteraam Poori Zindagi jaari rakhein.
2) SUBAH WA SHAAM KE AZKAR
Subah wa Shaam ke Azkar ka Ahtemaam Kare ye har Azkar ki Ek Alag hi Fazilat hai Isse Insaan Deen E Islam se Juda Rahta hai Allah ki Khashiyat uske Dil me Rahti hai.
3) QURAN
Quran Allah Ta'ala ka Kalaam hai, Shifa hai, har Momin ke Dard ki Dawa hai, Sukoon Hasil karne ka Sabse behtareen Zariya hai. Aaj Har Musalman Pareshani ki zindagi Guzar raha hai, Qur'an Uski
Pareshaniyon ka hal hai, Aaj Noujawan Depression me Ji Raha hai Qur'an Usse Nijaat ka Zariya hai.
Allah Rabbul Izzat farmata hai:
"Beshaq Allah Ke Zikr Se Momino ke Dil Itminan hasil karte hai."
Lihaja Rozana 1 Para Fajr ke baad padhle ya Apni
Sahulat ke hisaab se Padhle taki 1 Mahine me 1
Qur'an Mukammal kar sake, Jaise Ramadan me kiye.
4) TAHAJJUD
Tahajjud ka Ahteraam kare, Behtar hai Aakhri Paher me Padhe, Bas Fajr se 30-40 Minute pahle Uth kar Padh lein Jaise Ramadan me hum sehri ke liye uth jaate the Fajr se pehle waise roz uth sakte hai.
Hazrat Abu Hurairah (R.A) Kehte Hain Maine
RasoolAllah (ﷺ) Se Suna Aap (ﷺ) Farmate Hai :
"Farz Namaz Ke Baad Sab Namazon Me Afzal Tahajjud Ki Namaz Hai"
5) ROZE
Nafil Rozo ka Ahtemaam kare, Har Peer (Monday) aur Jumeraat (Thursday) ko Roza Rakhein har mahine ki 13,14,15 ko Roza rakhe isko Aadat bana le, Aasani se rah sakte hai In Shaa Allah.
Allah ke Nabi (ﷺ) Har Peer (Monday) aur Jumerat (Thursday) ka roza rakha karte aur farmate :
"Har Peer aur Jemraat ko Humare Aamal Allah Ke Paas Pesh kiye Jaate hai."
Allah Ta'ala se Jude Rahne ke Liye in Tamaam Chizo ko Apnaane ki Poori Koshish kare lekin Namaz to har haal me padhna hi hai, Wahi Kafir aur Musalmaan ke beech farqbkarne wali chiz hai,
Hume sirf Ramadan ke Musalmaan nahi banna hai, Balki Sachche Musalmaan banna hai.
Allah Ta’ala Hum Sabko Is par Amal Karne ki Toufeeq Ata farmaye aur Ramadan jaisi Zindagi har Mahine Guzarne wala banaye.
🌷Share With Others🌷
💐Jazakallahu Khairan💐
0 Comments