NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM KA IFTAR KA TARIKA
Nabi (ﷺ) pehle BISMILLAH keh kar khajoor se roza kholte phir paani pite phir ye dua padhte
ذَهَبَ الظَّمَأُ وَابْتَلَّتِ الْعُرُوقُ وَثَبَتَ الْأَجْرُ إِنْ شَاءَ اللَّهُ
Zahabaz-zama'u wabtallatil uruqu wa sabatal-ajru in-sha-Allah
Tarjumah- Pyas bujh gayi , ragein tar ho gayi aur ajar sabit ho gaya agar Allah ne chaha.
[Sunan Abu Dawood Hadees Number 2357]
IFTAR KI MANGHADAT DUA
Tarjumah- Aye Allah main tere liye roza rakha aur tujh par iman laata hun, aur tujh par
bharosa karta hun, aur tere rizq se iftar karta hun.
Iss dua ke tarjume par gaur karenge toh saari baat samajh me aa jayegi main tere liye roza tha kya... kya
Allah ye nahi jaanta ?
Aur tujh par imaan lata hun....
bagair iman ke roza rakha ?
ya roza rakh kar iftar ke waqt iman laaya ?
kya iman ke bagair roza qubool hoga ??
0 Comments