Roza Rakhne Ki Niyat Ka Sahi Tariqa


ROZA RAKHNE KI NIYAT


Hafsa (رضي الله عنها) kehti hain : "Us shaks ka roza nahi jo Fajr se pehle rozey rakhne ki niyat na kare."

[Sunan Nasai Hadees Number 2338]

👉 Lekin, kisi ko bhi niyat alfaaz me nahi bolni chahiye ya awaaz nikaal kar kyunki niyat bol kar karna biddat hai isliye ke ye RasulAllah (ﷺ) aur unke Sahabao me se kisi se bhi sabit nahi.
Niyat sirf dil me karni chahiye.
Dil me roza rakhne ka irada Fajr se pahle! 🌷

🔴 Ek Dua jo logo me bohot zada Aam Hai 👇

"وَبِصَوْمِ غَدٍ نَوَيْتُ مِنْ شَهْرِ رَمَضَانَ"

(mai kal roza rakhne ka irada karta hoon ramzan ke mahine me)

Ye Dua sahih NAHI hai. ❌❌❌

Ye Dua kisi hadees ki kitaab me zaeef hadees me bhi shamil nahi hai.
Ye Dua logo ne khud bana kar aam kar di hai is liye ye Dua mat padhiye sirf dil me roza rakhne ka irada karein Fajr se pahle!

Sawaal : Kya ek niyat pure Ramzaan ke liye kaafi hai ? Ya har din Roze ke liye alag Niyat karni hai ?

Shaykh Saleh al Fawzaan (حفظه الله) : Ye zaruri hai ke har din Fajr se pehle niyat ki jaaye kyunke har din ke ibadat usi din ki jaati hai.

Post a Comment

0 Comments