Roze Aur Ramazan Se Mutalliq Aham Sawalat


ROZE AUR RAMADAN SE MUTALLIQ SAWALAT


1) SAWAL: KYA ROZE MEIN BHOOL KAR KHAA PI LENE SE ROZA TOOT JATA HAI ?

👉 Roze mein BHOOL kar kha pi lene se roza nhi toot'ta, kyuki usko bhool me Allah ne khilaya hai.

Allah ke Rasool ﷺ ne farmaya:
👉 Jisne BHOOL kar Roze ki Halat mein kuch kha pi liya toh woh apna Roza poora kare
kyunki usey toh Allah ne khilaya pilaya hai.

[Sahih Bukhari Hadees Number 6669]


2) SAWAL: KYA NAPAKI KI HALAT MEIN SEHRI KHAA SAKTE HAIN ?

👉 Ghusl wajib (Napaki) hone ki halat me bina Ghusl sehri karne me koi harj nahi hai.
👉 Lekin Fajr ki namaz ke liye Ghusl zaroor kar liya jaye.

[Sahih Bukhari Hadees Number 1925, 1926]


3) SAWAL:  ROZE KI HALAT MEIN KHOON NIKALNA KAISA HAI ?

👉 Roze ki halat me khoon nikala ja sakta hai [zarurat padne pr] or daant bhi nikala ja sakta hai.
👉 Lekin kamzoori ho jane ka dar hoto aisa nahi krna chahiye.
👉 Roze ki halat me injection lagwaya ja sakta hai lekin wo injection taqat ka na ho balke bimari ka ho.

[Sahih Bukhari Hadees Number 1938,1940]


4) SAWAL: KYA ROZE KI HALAT MEIN "EHTELAM" (Wet Dream) HO JAYE TO ROZA TOOT JATA HAI?

👉 Nhi Toot'ta: Kyuki ye khud ke Control me nhi hota hai.

Allah ne kaha: 👇
👉 Allah kisi Jaan ko Uski Taqat se Zayada Takleef nhi deta

[Quran Surah Al Baqarah 2:286]

👆 Iss Ayat or bhi kyi hadeeso ke base par Ulma ke ye Fatawe hai ki Roza Nahi tootta Hai.

[Fataawa alLajnah alDaa’imah, vol. 10, p. 274]

👉 Sehri bhi kiya ja Sakta hai, Napaki ki Halat me, Lekin Namaz ke liye Gusul kar lena hai.

[Sahih Bukhari Hadees Number 1930,1931]


5) SAWAL: ROZE MEIN "TOOTHPASTE" KA ISTEMAL KARNA KAISA HAI ?

👉 Jayez hai, Lekin Agar koi "Na kiye Reh Sakta" hai to wo na kare (Bachna Chahiye)

Is mamle me Ulma ke 2 Fatawe milte hain: 👇👇

👉 1) Shaikh Bin Baaz (rh) kehte hain ki Toothpaste karne me koi Dikkat nahi hai, kyuki Isme Nigalane wali koi baat nhi hai.

[Fatwa: alShaykh Ibn Baaz, 4/247]

👉 2) Shaykh Muhammad alSaalih ibn ‘Uthaymeen kehte hain ki kar Sakte hain, Lekin ye Strong hota hai jiski Wajah se Bachna Chahiye.

[AlSharh alMumti’ by Ibn ‘Uthaymeen, 6/407, 408]


6) SAWAL: IFTAR KARNE KI DUA KYA HAI ?

Iftar karne ki Ye Dua Sahi Riwayat se Sabit Nahi❌

👈 « اللهم لك صمت وعلى رزقك أفطرت‏‏»

(Allaahumma laka sumtu wa ‘ala rizqika aftartu)

[Sunan Abu Dawood Hadess Number 2358]

👉 Iftar karte waqt sirf "Bismillah" kar ke iftar kare

[Tirmizi Hadees Number 1858]

Iftar ke baad ki Dua Sahi Riwayat Se Sabit hai
👇👇👇👇

ذَھَبَ الظَّمَأُ وَابْتَلَّتِ الْعُرُوْقُ وَثَبَتَ الْاَجْرُ اِنْ شَآئَ اللّٰہُ

(Zahbazzama wabtallatil uruqu wa sabatal ajr inshaAllah.)

👉 Tarjuma : Pyaas chali gayi or ragein tar ho gayi or agar Allah ne chaha to Ajar sabit ho gaya.

[Sunan Abu Dawood Hadees Number 2357]


7) SAWAL: IFTAR KE WAQT APNE ALFAZ MEIN DUA KARNA KAISA HAI ?

Iftar ke waqt Apne Alfaz me Dua karna jayez hai

👉 Rasool Allah ﷺ ne farmaya: Rozedaar ki dua iftaar ke waqt radd (Reject) nahi ki jaati. (Isliye iftar ke Waqt Dua karna Chahiye)

[Ibn E Majah Hadees Number 1753]


8) SAWAL: KOI "SAFAR" MEIN HO TO "ROZA TOD" SAKTA HAI ?

👉 koi "Safar" me hoto "Roza tod" Sakta hai, Lekin Us Roze ko Usko Baad me Rakhna hoga

Allah ne farmaya:

👉 Agar tum mein se koi mareez ho ya safar mein hoto utne din gin kar baad mein Roze rakh le.

[Surah Al Baqarah (2) Ayat 184]

👆 Kuch log Iska Fayda Samjh kar "Aam Safar" Me bhi Roza Tod dete hain or Phir baad me Rakh nhi pate hain, To Aisa krne se Bachna Chahiye

🌷 SHARE WITH OTHERS 🌷
💐JAZAKALLAHU KHAIRAN💐

Post a Comment

0 Comments