Shawwal Ke 6 Roze Rakhne Ki Fazilat Aur Masail


 SHAWWAL KE ROZE


💫 Hazrat Abu Ayyub Al Ansari Radhi Allah anhu se riwayt hai ke Rasool'Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya, jo shakhs ramzan ke roze rakh kar (har saal) shawwal me bhi 6 roze rakhe use umar bhar ke rozon ka sawab milta hai.


[Sahih Muslim Hadees Number 2614]


👉 Is Hadees se malum hua ke shawwal ke 6 roze wo nafili roze hai jinki ahmiyat ramazan ke rozon ke saath mil kar itni zyada ho jati hai ke jaise saal bhar ke roze rakh liye ho aur jab kisi shakhs ko har saal poore saal ke rozo ka sawab milega to iska matlab apni poori umar me use umar bhar ke rozo ka sawab milega aur jo shakhs ALLAH TA'ALA ke pas umar bhar ke roze lekar jayega to usko milne wale ajr wa sawab ka andaza lagana kisi ke liye mushkil nahi.


Note - Ulemao ke Nazdeek ki Ye roze shawwal ke mahine me kisi bhi 6 dino me rakhe ja sakte hai ek saath ya alag alag kaise bhi.

ALLAH hum sab ko umar bhar ke rozo ka sawab haasil karne ki taufeeq de.

Ye Roze rakhne ki koshish zaroor karein In'sha'Allah.

Aap inhe shawwal ki dusri tareekh se rakh sakte hain Aur ye zaroori nahi ke lagatar rakhein jaayen baalki pure shawwal ke mahine me kabhi bhi rakh sakte hain Alhamdulillah.


Eid Ke Din Roza Na Rakhe


Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasool’Allah (ﷺ) ne Do din ke roze se mana farmaya hai Ek Eid Al-fitr aur Dusra Eid Al-Zuha.


[Sahih Muslim Hadees Number 2676]


SHAWWAL KE 6 ROZE PAHLE RAKHEIN YA PHIR QAZA ROZE


Sheikh ibn Uthaymeen Farmate hai:

Shawwal ke 6 roze Ramzan se jude hue hai aur ye Roze Ramzan ke Qaza roze rakhne ke baad hi rakhe ja sakte hain. Agar koi bina Qaza puri kiye hue shawwal ke Roze rakhta hai to use wo sawab ni milega jaisa ke hadees me bataya gya hai.

Kyunki Muhammad (ﷺ) ne farmaya :

Jisne Ramzan ke Roze rakhe fir shawwal ke 6 Roze rakhe to Maano usne saal bhar roze rakhe.

Aur jaisa ki ye jana jata hai ki Agar Kisi ke Ramazan ke Roze Qaza hai to ye ni mana jayega ke usne poore Ramzan ke Roze rakhe jab tak ke wo apne Rozo ki Qaza na puri karle.

[Fatawa As-Siyaam 438]

Lekin agar woh pahle shawaal ke 6 roze rakhe aur ramzan ki qaza ko moakhhar (delay) kar de koi majburi se toh bhi jaiz hai lekin Ramzan ki qaza aane waale Ramzan se pahle pahle muqammal karna zaruri hai.


NOTE - Aksar ham sab ke Ramazan ke Roze agar Qaza rahte hai to wo laparwahiyo me jaldi pure ni ho paate.

Hame In baato se ye bhi faida hasil hua hai ke ham ab Qaza roze rakhne me jaldi karenge taki Shawwal ke rozo ka sawab hasil kar sake IN'SHA'ALLAH

Post a Comment

0 Comments