Taraweeh Ki Namaz Kaise Padhni Chahiye


QIYAM UL LAIL KAISE PADHNA CHAHIYE ?


Nafi rivayat karte hai ki Ibn Umar ne kaha ki Jab RasoolAllah (ﷺ) mimber pe the toh ek shaks ne unse pucha ki Qiyam ul lail (Taraweeh) kaise padhna chahiye ?
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: Qiyam ul lail do-do rakat kar ke padho aur jab subah (sadik) hone ka dar ho to ek rakat padh lo, yeh (ek rakat, pahli saari) namaz ko taak bana degi.

[Sahih Bukhari Hadees Number 472]

Is Hadees Number me ye kaha gaya hai ki ham Taraweeh chahe jitna Chahe padh sakte hai fajr se pahle tak Lekin agar RasoolAllah (ﷺ) ke amal ki baat hum kare toh is ka zikr Hadees Number me kuch is tarha se ha i:

Hajrat Ayesha (r.a) riwayat karti ki Ramzaan hota ya gair Ramzaan, Rasool (ﷺ) (raat ki namaz aam taur par) gyarah rakat se zyada nai padhte (Pahle) aap char rakat padhte aur us namaz ki lambai aur khubsurti ko mat puchye fir aap char rakat padhte aur us namaz ki lambai aur khubsurti ko mat puchye. Fir (akhir) me ap teen rakat (witr) padhte.

[Sahih Bukhari Hadees Number 1147,2013,3569]

Is Hadees Number se ye sabit hota hai ki RasoolAllah (ﷺ) hamesha 11 rakat taraweeh padhte the chahe ramzaan hota ya gair ramzaan.

Agar hum salaf ke record dekhte hai to hame ye pata chalta hai ki kuch salaf 20 rakat taraweeh padhte the to kuch 36 rakats bhi padhte the.

[Musannaf Ibn Abi Shaiba, Vol.2, Pages 165 & 166)]

To baat wazeh hui ki ham chahe jitti rakat padh sakte hai Taraweeh lekin agar RasoolAllah (ﷺ) ka tarika apnana ho to 8 rakat padhni chaiye lekin 20 ya aur koi tadad padhne ki ijazat di hai RasoolAllah (ﷺ) ne.
Aur hamein ye koshish karni chaiye ki ham Imam ke sath taraweeh padhe aur unhi ke sath Taraweeh khatm kare chahe Imam 8 rakat padhe ya 20 ya aur koi tadad :

RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya, “Jo shaks Imam ke sath taraweeh padhta hai jab tak Imam khatm na karde to Allah (uske aamal me) likhenge ki usne puri raat namaz me guzari.”

Narrated by al-Tirmidhi (806) and classed as saheeh by al-Albaani in Saheeh al-Tirmidhi.

RasoolAllah Aur Sahabo Ki Taraweeh Ki Rakato Ki Tadad

Hajrat Ayesha (r.a) riwayat karti ki Ramzaan hota ya gair Ramzaan, Rasool (ﷺ) (raat ki namaz aam taur par) gyarah rakat se zyada nai padhte.(Pahle) aap char rakat padhte aur us namaz ki lambai aur khubsurti ko mat puchye fir aap char rakat padhte aur us namaz ki lambai aur khubsurti ko mat puchye. Fir (akhir) me ap teen rakat (witr) padhte.

[Sahih Bukhari Hadees Number 1147,2013,3569]

Hazrat Jabir bin Abdullah (r.a) riwayat karte hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne hame Ramadan me aanth (8) rakat rakat qayam e Ramadan padhaya fir witr padhai.

[Ibn Khuzaima -Hadees Number 1070, Ibn Hibban- 920, Abu Yala Al-Musli- 1802]
Is Hadees Number ko Imam Ibn Hibban ne sahih kaha hai.

Is Hadees Number se sabit hota hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne teen raat namaz padhai wo Gyara (11) rakat hi thi.

Hazrat Saa’ib ibn Yazeed se riwayat hai ki Hazrat Umar Farooque (r.a) ne Hazrat Ubayy ibn Ka’ab aur Hazrat Tameem ad-Daaree (r.a) ko Hukm diya ki logo ko Gyara (11) rakat Qayam e Ramadan padhae.

[Muwatta Imam Malik, Salaat fi Ramadan, 1/115. Musannaf ibn Abee Shaybah 2/391-392, As-Sunan Al-Kubraa Of Baihaaqee (2/496) ]

Is Hadees Number se Sabit hua ki Hazrat Umar Farooque (r.a) ne Madinah ke qariyo ko Ghyarah (11) rakat padhane ka hukm diya

🌷Share With Others🌷
💐Jazakallahu Khairan💐

Post a Comment

0 Comments