Taraweeh Se Mutalliq Hadeesein

 

TARAWEEH SE MUTALLIQ HADEESEIN

Jo log "Taraweeh" ki Namaz ko "Jaldi-Jaldi" Padhte hain Unko Iss Hadees pe Dhyan Dena Chahiye

Jaldi Jaldi  Namaz padhne wale ko Nabi (ﷺ) ne Namaz "Dohrane" ko kaha (Matlab Uski Namaz Nahi hui) ❌

[Sahih Bukhari Hadees Number 757]

👉 Namaz me 1 Ruku se dusre ruku me jane se pehle tab tak rukna chahiye jab tak ki "haddi apni jagah baith na jaye".

[Sahih Bukhari Hadees Number 757]

Nabi (ﷺ) Ne Farmaya:-
👉 Quran ko Namaz me Aasani ke Sath Padho (Jaldi Jaldi Na karo)

[Sahih Bukhari Hadees Number 757]

👉 Taraweeh ki Namaz ko sirf Rakat poori karne ke Maqsad se jaldi jaldi Na padhe kyuki aisi Namaz ka koi Fayda Nahi or Na hi ye Qubool hogi. ❌

NAMAZ MEIN RUKU-SUJOOD SAHI SE NAHI KARNA NAMAZ MEIN "CHORI" HAI

👉 Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya :- Chori ke Lihaz se sabse bura Shaksh wo hai jo apni Namaz se Chori karta hain logo ne kaha Ya RasoolAllah (ﷺ) wo Namaz se kaise Chori karta hain
Aap (ﷺ) ne farmaya : Wo Ruku aur Sujood pura nahi karta ya farmaya ke wo Ruku aur Sujood mein apni kamar seedhi Nahi karta.

[Musnad Ahmad Hadees Number 1704]

TARAWEEH KI KOI KHAAS DUA SABIT NAHI HAI NA HI TARAWEEH KE BEECH MEIN KOI DUA SABIT HAI ❌

Witr ki Namaz ke baad ki Dua Sabit hai 👇

👉 Ye Dua ka 3 Baar Padhna Teesri baar Buland Awaz se.

"سُبْحَانَ الْمَلِکُ الْقُدُّوْسُ"
(Subhaan al-Malik al-Quddoos)

[Abu Dawood Hadees Number 1430]
[Musnad Ahmad Hadees Number 14929]
[Sunan Nasai Hadees Number 1699]

🌷Share With Others🌷
💐Jazakallahu Khairan💐

Post a Comment

0 Comments