4 Imamo Ka Qaul Nabi Ki Taqleed Karna Aur Apni Taqleed Se Mana Karna

 


🔥Chaaro Imamo Ka Qaul Nabi Ki Taqleed Karna, Charo Imamo Ka Apni Taqleed Se Mana Karna🔥


1) Imam Abu Haneefa (R.A)


Imam Abu Haneefa (R.A) Farmate Hain, Mere Raae Ko Qubul karna Haram Hai Jab Tak Meri Baat Ke Dalil Malum Naa Kar lo.

[Mezan Al Sharani, Aqeedal jaid Page # 80 ]


Imam Abu Haneefa Farmate Hai, “Jab Dekho Ke Hamara Raai Quran Aur Hadees Ke Khilaf Hai To Quran Aur Hadees Par Amal Karo Aur Hamare Qaul Ko Deewar Par De Maro.

[Mezan Al Sharani, Aqeedal jaid Page # 53 ]


Imam Abu Haneefa Farmate Hai, “Jab Tumhe Koi Sahih Hadith Mil Jaye To Wahi Mera Mazhab Hai

[Ibn `Aabideen in al-Haashiyah (1/63) ]


Imam Abu Haneefa Farmate Hai “Lanat Ho Tumpar O Yakub. Har Chiz Jo Mai Farmata Hu Wo Na likho, Kyuki Ye Hota Hai Ki Agar Aj Mai Ek Raae rakhta hu to Kal Usi Raae Ka Inkar Kar Sakta Hu Ya Mai Kal Ek Raae Rakhta Hu Aur Parsu Us Se Inkar Kar Sakta Hun.

[ An Nafi- Al kabir p:135 by Abdul hasanaat al Luqnawi ]


Ek Dusri Riwayat Me Imam Abu Haneefa Farmate Hai, Kyuki Ham Insan Hai, Ham Ek Chiz Ek Din Kahte Hai Aur Dusre Din (Apni Baat) Wapis Le Lete Hai.


2) Imam Shafai (R.A)


Imam Shafi Farmate Hai, “RasoolAallah Ki Sunnat Ham Sab Tak Pahuchti Hai Aur Faraar(escape) Bhi Hoti Hai, i

Isliye Jab Bhi Mai Apni Raae Ya Koi Sharai Baat Tayar Karta Hu Jo Ki RasoolAllah Ki Ikhtiyar Se Takraati Hai To Fir Sahih Raae Rasool Allah ka Ikhtiyar Hai Aur Yahi Meri Raae Hai.

[ Related by Haakim with a continuous sanad up to Shaafi’i, as in Taareekh Dimashq of Ibn Asaakir (15/1/3) ]


Imam Abu Shafi Farmate Hai: “Jab Tumhe Koi Sahih Hadith Mil jaye To Wahi Mera Mazhab hai

[ Nawawi In Al-Majmoo’ (1/63), Sha’raani (1/57), Giving its sources as Haakim and Baihaqi, & Fulaani (p. 107) ]


3) Imam Malik (R.A)


Hazrat Imam Malik (R.A) farmate hai: “Mai Sirf ek Insaan Hu, Kabhi meri baath saahi hoti hain aur Kabhi Ghalat To Tum Meri Is Baat Ko Jo Quran Aur Hadees Ke Mutabik Ho Le Liya Karo Aur Us Baath Ko Jo Is Ke Khilaf Ho Chor Diya Karo (Yaani Meri Taqleed Mat Karo)

[Ibn `Abdul Barr in Jaami’ Bayaan al-‘Ilm (2/32) ]


4) Imam Ahmed Ibne Hambal (R.A)


Imam Ahmed Imamo Ke Sabse Pahle Imam The Sunnah Jamah Karne Wale Aur Use Padke Rahne Wale, Itna Ki Unhe Ye Sakht Na-Pasand Tha Ki Unke Qiyas Aur Raae Ki kitab Likhi Jaye

[ Ibn al-Jawzi in al-Manaaqib (p. 192) ]


Imam Ahmed Ibne Hambal (R.A) Ne Farmaya Hargiz Naa Meri Raae Naa Malik (R.A) Ke Aur Imam Shafai (R.A) Ke Aur Naa Imam Auzai Ke Aur Naa Imam Thawri Ke , Jaha Se Ye Tamam Imam Deen Ke Ahkam Waa Masail Layte The (Quran aur Hadees) Tum Bhi Wahi Se hi Leena.

[ Aqeedatul Jaid Page # 70 ]


In Charo Muhtaram Imamo ke Qaul Se Ye Baat Saaf Zahir Hoti Hai Ke Mohammed Sallahu Alaih Wa Sallam Ke Hadees Ke Mutabik *Maa Aana Alaihi Ashabihi* Kaa Rasta Ekhtiyar Karne Ka Hukum Farmaya, Ye Sub Ke Sub Quran Aur Hadees Par Amal Karte The, Yehi Inka Mazhab Tha, In Charo Buzurgo Ne Apni Taqleed Se Mana Kiya Tha Aur Kisi Ne Bhi Alag Mazhab Apne Naam Se Mansoob Karke Murtib Nahi Kiya, Wo Koi Naya Mazhab Nahi Banane Aye The, In Imamo Ka Mazhab Wahi Tha Jo Ke Rasool Allah Sallahu Alaih Wa Sallam Ka Mazhab Tha...


Aye Muslmano Tum Apne Deen E Islam Par Mazbuti Se Jam Jaao Ye Mat Dekho Ki Maire Ghar Kya Karte Hai Aur Maire Baap Dada Kya Karte The, Hame Rasool Allah Sallahu Alaih Wa Sallam Aur Sahaba Razi Allahu Anhu Ke Raste Par Apni Zindagi Guzarni Chahiye Aur Andhi Takleed Se Bachna Chahiye 

Kyunki Hamare Baap Dada Galt Ho Sakte Lekin Hamare Rasool Sallahu Alaih Wa Salalm Kabhi Galt Nahi Ho Sakte 

Kyunki Quran Mai Allah Subhan Wa Tala Farmate Hai 

Tumhara Sathi Muhammad (ﷺ) Na Bhatka Hai Na Behka Hai. 

[Surat Un Najam, Aayat 2]



🌷Share With Others🌷

💐Jazakallahu Khairan💐

Post a Comment

0 Comments