HINDUSTAN MEIN DEEN-E-ISLAM KOUN LAYA AUR KAB AAYA ?
KYA HINDUSTAN MEIN ISLAM WALI LAAYE ?
Hazrate Anas Razi’Allahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Kuffar-E-Makkah Ne RasoolAllah (ﷺ) Se Ye Darkhwast Ki, Ke Apni Nabuwat Ki Koi Nishaani Batlaiye ?
To RasoolAllah (ﷺ) Ne Chaand Ki Taraf Ungli Se Ishaara Kar ke Chaand Ke Tukde Ho Jana Dikha Diya.
[Sahih Bukhari Hadees Number 3637]
[Sahih Muslim Hadees Number 7076]
Hazrate Abdullah Bin Masud Razi’Allahu Anhu Se Riyawat Hai Ke RasoolAllah (ﷺ) Ke Zamane Me Chaand Taqseem Ho Kar Do Tukde Ho Gaya Tha, Aur Aap (ﷺ) Ne Farmaya Tha Ke “Logon Is Par Gawah Rahna.
[Sahih Bukhari Hadees Number 3869]
RasoolAllah (ﷺ) Ka ye Mubarak Mojza Duniya Bhar Ke Logon Ne Dekha,
Usme Se Ek Hindustan Ke Raja Cheraman Perumal Bhi The Jo Tehkik Kar Khud RasoolAllah (ﷺ) Ke Hatho Basharfe Islam Huve Aur Sahabi Ka Sharf Hasil Kiya .
CHAAND KE DO TUKDE HONE PAR RAJA CHERAMAN KI IMAN LANE KI DASTA
CHERAMAN PERUMAL 622-628 CE, 1-7 Hijri Kodungallur Kerala Ka Raja Tha.
Ek Raat Apne Mahal Se Dekha Ke Aasman Me Chaand Ke Do Tukde Ho Gaye
M.Hamidulla Apni Kitab “Muhammad Rasoolullah (ﷺ) ” Me Is Waqiye Ko Bakhubi Nakal Karte Hain.
Ye Kitab London Ke INDIA OFFICE LIBRARY (Refrence Number: Arabic 2807,152-173) Me Maujood Hai
Jab Kuch Log Malabar Ke Raaste China Ja Rahe The Unhone Cheraman Perumal Ko Ye Bayan Kiya Ke Ye ARAB Me Rahne Wale Rasool, Muhammad (ﷺ) Ne Allah Ki Madad Se Kiya Hai
Cheraman Perumal Allah Ke Rasool (ﷺ) Ke Baare Me Sun Kar Hairaan Ho Gaya.
Cheraman Peruman Ne Ye Suna Tha Aur Maloom Tha Ke Ek Shakhs Arab Me Hai Jo Ek ALLAH Ki Daawat De Raha Hai Wo Apne Aap Ko ALLAH Ka Rasool Kehta Hai,
Kuch Sahaba, Shaykh Sahirudhin ke Sath Raja Cheruman Perumal Se Mulakat Ki Aur Kaha Ke, Wo Arab Se Aye Hain Aur Wo Musalmaan Hain, Wo Sri Lanka Ja rahe Hain Tijarat Ke Silsile, Raja Cheraman Perumal Jo Islam Se Wakif Tha Un Sahaba Se Islam Ke Baare Me Sun kar Khush Ho gaya Aur Kaha Ke Jab Wo Sahaba Wapas Arab Jayein To Use Bhi Sath Lekar Jayein.
DALEEL:
THUHFATHUL-MUJAH-e-DEEN By Ahmad Zainudhin Makhdum Kitab “KERALOPATHI” Me Likha Hai:
Fir Cheruman Perumal Hajj Ke Liye Aur Nabi (ﷺ) Se Milne Ke Liye Un Sahaba Ke Sath Nikal Pada
RAJA PERUMAL KA SAHABI KA SHARF HASIL KARNA Raja Perumal Ne Nabi (ﷺ) Se Mil kar, Bayt Lekar Musalman Hua Aur Apna Naam TAJUDHIN Rakh Liya
Abu Saeed Al-Khudri Razi’Allahu Anhu Farmate Hain Cheraman Perumal Ne Nabi (ﷺ) Ko Adrak Wala ACHAR Diya Aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Use Chakha Aur Apne Sahaba Ko Bhi Diya
[Hadees Ki Kitab Al-Musthadrak; Kitab Al-Hakim Vol-4, Page-150]
Cheraman Perumal, Nabi (ﷺ) Se Mil kar Aur Hajj Karke Jab Wapas Laut Raha Tha, To Wo Bimaar Hokar Saltanat-e-Omaan Ke Shehar Salaalah Me Uski Wafaat Ho gayi,
Cheraman Raja Yaani Tajudin Razi’Allahu Anhu Ka Khath Lekar Malik Bin Deenar Razi’Allahu Anhu 13 Sahaba Ke Sath Hindustan Aaye,
Cheramal Perumal Ki Puri Kahani Ke Waqiye Ko Imam Ibn Hajar Al-Asqalani Ne Apni Kitab
[AL-ISABAH Vol.3, Pg.279 Aur LISAN AL-MIZAAN Vol.3, Pg.10 Me Likha Hai]
🌷Share With Others🌷
💐Jazakallahu Khairan💐
0 Comments