💞 Jo Shaks Allah Se Milne Ko Mehboob Rakhta Hai, Allah Bhi Usse Milne Ko Mehboob Rakhta Hai 💞
Rasool Allah ﷺ ne farmaya : Jo shaks Allah se milne ko mehboob rakhta hai, Allah bhi usse milne ko mehboob rakhta hai aur jo Allah se milne ko pasand nahi karta hai Allah bhi usse milne ko pasand nahi karta.
Aur Aisha RadiAllahu Anha ya Aap (ﷺ) ki baaz azwaaj ne arz kiya ke Marna to hum bhi nahi pasand karte
Aap (ﷺ) ne farmaya ke Allah ke milne se maut murad nahi hai balke baat ye hai ke imaandaar admi ko jab maut aati hai jo usse Allah ki khushnoodi aur uske yaha uski izzat ki khushkhabri di jaati hai.
Uss waqt momin ko koi cheez usse zyada aziz nahi hoti jo uske aage (Allah se mulaqaat aur uski raza aur jannat ke hasool ke liye) hoti hai,
Iss liye woh Allah se mulaqaat ka khwahishmand ho jata hai aur Allah bhi uss ki mulaqaat ko pasand karta hai.
Aur jab kafir ki maut ka waqt ata hai to use Allah ke azaab aur uski saza ki basharat di jaati hai,
uss waqt koi cheez uss ke dil mein usse zyada naagawaar nahi hoti jo uske aage hoti hai,
wo Allah se jaa milne ko naa-pasand karne lagta hai, pas Allah bhi usse milne ko na-pasand karta hai.
[Sahih Bukhari Hadees Number #6507]
🌷Share With Others🌷
💐Jazakallahu Khairan💐
0 Comments