Nikah Ka Matlab Kya Hai ?
Romanised By - @armaan.ansari01
Nikah Arabic Zuban Ke Madde "ح ک ن" Se Bana Hain Jiska Matlab Hai Milna Yaa Jamaa Karnaa...
Is Tarah Milnaa Jis Tarah Neend Aankhon Mein Mil Jaati Hai Yaa Baarish Kay Katrey Zameen Mein Jazb Ho Jaate Hain....
Isse Ye Wazeh Hoti Hui Ki Islam Chahta Hai Ki Nikah Ke Baad Shauhar (Husband) Yaa Biwi (Wife) Kay Darmiyaan Aisa Talluq Paida Ho Jaaye Jaisa Talluq Aankh Aur Neend Kay Darmiyaan Hota Hai...
Isi Baat Ko Qur'an Ne Ek Dusri Misaal Mein Bayaan Kiyaa 👇
"Wo Tumhaare Liye Libaas Hain Aur Tum Unke Liye Libas Ho"
[Surah Al-Baqrah 2, Ayat Number 187]
Yaani Jis Tarah Libaas Aur Jism Ke Darmiyaan Koi Doori Nahi Hoti Aur Woh Ek Dusre Ki Hifazat Kartein Hain Usi Tarah Ka Talluq Shauhar (Husband) Aur Biwi (Wife) Ke Beech Hona Chahiye. 💫
🌷Share With Others🌷
💐Jazakallahu Khairan💐
0 Comments