Abu Lahab Ka Hasr Tawheed Ki Ahmiyat


Tawheed Ki Ahmiyat
Abu Lahab Ka Hasr


Abu Lahab - Abu Lahab ko koun nahi janta Ye RasoolAllah (ﷺ) ka chacha tha ye wo chachao me se hai jo Emaan nahi laya lekin sakht tha Islam ke khilaf,

Ye RasoolAllah (ﷺ) ko Har tarah ki Taqleef deta

Aur Ye bohot Khubsurat tha, aur ye Abu Lahab toh isiliye kehlaya ke yeh itna khoobsurat tha ke jab hasta ya Gusse me aata to laal ho jata angaar ki tarha to kehlaya Abu Lahab yaani Angaar ka Baap lekin iske talluk se puri Surah utar gayi ke ye bhi Jahannum me Jayega.

[Surah Number 111 - Surah Al-Tabbat]


Abu Lahab ke khilaf idhar Tawheed par Hazrat E Bilal bin Raba (r.a) hai jo gulaam hai,

Abu Lahab jo dikhne me gora chitta Khubsurat hai,

Aur Hazrat E Bilal intehayi kaale hai lekin Bilal (r.a) RasoolAllah (ﷺ) se Jannat ki khushkhabri sun rahe hai aur waha Abu Lahab ko Jahannum ki wahee aa rahi hai.


To wo kya cheez thi jisne Bilal (r.a) ko Jannat ka mustahik bana diya aur Abu Lahab ko Jahannum ke hawale kar diya ??


Ye wohi to sabse Aham baat thi ke Ek ne Allah par Emaan laya aur iss ke khilaf Abu Lahab ne Allah ke sath Shirk kiya.

Lihaza Emaan lane walo ko Jannat ki Khushkhabri sunayi aur Shirk karne wale humesha humesha ke liye jahannum ke mustahiq ho gaye.

Yahi to hai Tawheed ki Ahmiyat jo Jannat aur Jahannum ka fark kar deti hai.


Allah Rabbul Izzat se Dua hai ke, Allah humein Tawheed par Qayam rakhe aur har Qism ke Shirk se humare Emaan ki salamati ata farmaye, jab tak humein zinda rakhe Islam aur Emaan par zinda rakhe, khatma humara Emaan par ho...


Aameen 🤲


🌷Share With Others🌷

💐Jazakallahu Khairan💐

Post a Comment

0 Comments