Deen Ke Kaamon Mein Kaunsa Amal Afzal Hai
Abdullah bin Mas'ûd radhi-alllahu anhuma ne kaha ke maine RasoolAllah (ﷺ) se pucha:
Deen ke kamon mein kaun sa amal afzal hai ?
Aap (ﷺ) ne farmaya : Waqt par namaz padhna
Maine pucha iske baad ?
Aap ﷺ ne farmaya : Waldain ke sath nek sulook karna.
Maine poocha aur iske baad ?
Aap ﷺ ne farmaya: Allah ke raaste mein jihaad karna.
Phir Maine Aap (ﷺ) se zyada sawalaat nahi kiye, warna Aap (ﷺ) issi tarah inke jawabaat inayat farmatey.
[Sahih Bukhari Hadees Number 2782]
🌷Share With Others🌷
💐Jazakallahu Khairan💐
0 Comments