DHUL HIJJAH KE SHURU KE 10 DINO KI FAZILIYAT

DHUL HIJJAH KE SHURU KE 10 DINO KI FAZEELIYAT


RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "In dino (dhul hijjah ke shuru ke 10 din) ke amaal se zyada kisi din ke amaal me fazeeliyat nahi."

Logo ne pucha: "Aur jihaad me bhi nahi?"

Aap (ﷺ) ne farmaya ke: "Haan jihaad me bhi nahi siwaye us shaks ke jo apni jaan wa maal khatre me daal kar nikla aur wapas aaya to saath kuch bhi naa laaya (sab kuch Allah ki raah me qurban kar diya)."


[Sahih Bukhari Hadees Number 969]


👉ARAFAH KE ROZE KA SAWAB


RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya mai samjhta hun ki Arafah ke din Roza rakhne ka sawab Allah Ta’ala ye dega ke agle pichle ek sal ke gunah baksh dega.

[Ibn-E-Majah Hadees Number 1730]


👉HAJIYO AUR GHAIR HAJIYO KE LIYE ARAFAH KA ROZA


Sheikh Uthaymeen se sawal kiya gaya:

Arafa ke roze ke liye hajiyo aur ghair hajiyo ke liya kya hukm hai

Unhone jawab diya: Arafah ke din ghair hajiyo ka roza rakhna sunnat hai.


RasoolAllah (ﷺ) se Arafah ke roze ke bare me dariyaft kiya gaya to unhone jawab diya. Arafah ke din roza rakhne ka sawab Allah ye dega ke agle piche ek sal ke gunah baksh dega.

[Ibn-E-Majah Hadees Number 1730]


Aur hajiyo ke liye Arafah ka roza rakhna sunnat nahi hai kyunki RasoolAllah (ﷺ) ne Hajjatul wida ke mauqe pe Arafah ke din Roza nahi rakha tha. Jaisa ke Bukhari ki hadees me ata hai


Maimuna Radiallahu anha rivayat karti hai ke

Arafa ke din kuch logo ko RasoolAllah (ﷺ) ke roze ke Mutalliq shak hua. Isliye unhone apki khidmat mein dhudh bheja. Aap us waqt Arfat me khade the. Aap ne dhudh pi liya aur sab log dekh rahe the.

[Sahih Bukhari Hadees Number 1989]


👉[Majmoo’ Fataawa Ibn’ Uthaymeen (Part 20, Question No. 404]

Post a Comment

0 Comments