Qayamat Ke Din Soor Phoonkne Ke Baad Kya Hoga


Qayamat Ke Din Soor Phoonkne Ke Baad Kya Hoga ?


1) HASHR NASHR AUR MAHSHAR 


Pehla soor phoonnke jaane ke baad qayamat ki haulnakiya shuru hongi aur phir dusra soor phunke jaane ke baad tamaam halaak hue logo ko zinda kar ke ek jagah jama kar diya jayega, isi ko hashr nashr kaha jaata hai. 


Hashr ke maayne ikhatta karne ke hai aur Nashr ke maayne dubara zinda karne ke hai, aur Mahshar ke maayne ikhatta karne ki jagah ko kehte hai. 


2) LOGO KA DUBARA ZINDA HONA 


phir doosri baar phoonka jaye ga to woh sabb log pal bhar mein kharray ho ker dekhney lagenge.

[Surah Zumar Ayat Number 68]



Pehli martaba soor phunke jaane ke baad jab saari duniya ke log halaak ho jayenge to Allah ta’ala shabnam ke katro ke maanind bearish barsayenge, usse logo ke jism tayyaar honge, phir soor mein dusri martaba phunka jayega to log fauran khade ho kar dekhne lagenge.

[Sahih Muslim Hadees Number 2940] 


(ambiya ke jism ko mitti nahi khaati, Nabi (ﷺ) ne farmaya ke bilashuba Allah ta’ala ne ambiya ke jismo ko khana zameen par haraam kar diya hai)

[Musnad Ahmad Hadees Number 2701] 


3) DUSRI ZINDAGI MAUJUDA ZINDAGI SE ALAG HAI 


moat uss per her taraf say aarahi hogi , magar woh maray ga nahi ,   aur uss kay aagay ( hamesha ) aik aur sakht azab mojood hoga.

[Surah Ibrahim Ayat Number 17] 


4) SABSE PAHLE NABI (ﷺ) QABR SE UTHAYE JAYENGE AUR USKE BAAD SAB LOG 


Nabi (ﷺ) ne farmaya main qayamat ke din aulad aadam ka sardaar aur pehla wo shaksh hounga jiski qabr khulegi.

[Sahih Muslim Hadees Number 5940] 


5) QABRO SE UTHTE WAQT LOGO KI HALAAT 


Tamaam log intehayi ghabraahat ki haalat mein bahut tezi se qabro se uthenge, jo koi jaise faut hoga use waise hi uthaya jayega, agar koi samandar mein gharq hua to use samandar hi se uthaya jayega, agar koi mitti mein dab kar mara to use mitti hi se uthaya jayega, agar kisi ko janwaro ya parindo ne kha liya ho to use parindo ke peto se hi ikhatta kiya jayega, aur shuhada ko unke zakhmo ke saath uthaya jayega, nek log acchi haalat mein aur bure log intehayi sakth haalat mein uthaye jayenge, sab baghair libaas, nange paao aur be-khatna uthaye jayenge. 


👉 Nabi (ﷺ) ne farmaya har banda usi aqeede par uthaya jayega jis par wo mara tha.

[Sahih Muslim Hadees Number 7232] 


👉 Jo shaksh ehraam ki haalath mein marega use qayamat ke din ehraam ki haalat hi mein uthaya jayega.

[Sunan Nasai Hadees Number 1905] 


👉 Nabi (ﷺ) jab uhad ke maidaan mein Hazrat Hamzah (r.a) ki laash par tashreef laaye aur dekha ke unka musla kiya gaya hai to Aap (ﷺ) ne farmaya agar Safiya (r.a) (hamza ki behan) apne dil mein kuch na-gawari mehsoos na karti to mein Hamza (r.a) ko isi haalat mein rehne deta taki use jaanwar kha lete aur phir qayamat ke din unhe jaanwaro ke peto se hi uthaya jata.

[Tirmizi Hadees Number 1016] 


👉 Hazrat Aisha (r.a) ka bayaan hai ke Nabi (ﷺ) ne farmaya qayamat ke din logo ko nange paao, nange badan, aur be-khatna haalat mein uthaya jayega, maine arz kiya ke aye Allah ke Rasool (ﷺ) tab mard aur auratein ek dosre ko nahi dekhengi ?

Aap (ﷺ) ne farmaya aye Aisha (r.a) us din ki sakhti usse kahi zyaada hogi ke wo ek dusre ko dekhein.

[Sahih Muslim Hadees Number 7198] 


6) HISAB KE LIYE JAMA HONE KI JAGAH 


Jis zameen par hisaab ke liye jama kiya jayega wo hamari zameen se alag hogi kyunki ye zameen aur qaynat ki har cheez to tabah ho jayegi, phir Allah ta’ala naye asmaan wa zameen paida farmayenge. 


uss din jab yeh zameen aik doosri zameen say badal di jaye gi , aur aasman bhi ( badal jayen gay ) aur sabb kay sabb khudaye wahid o qahaar kay samney paish honge. 

[Surah Ibrahim Ayat Number 48] 


Qayamat ke din logo ko ek hi zameen par ikhatta kiya jayega jo safed surkhi maayel saaf gol roti ki tarah hogi aur us mein kisi ke liye koyi nishaan na hoga.

[Sahih Bukhari Hadees Number 6521]



7) TAMAAM LOGO KO ARZ MAHSHAR MEIN JAMA KIYA JAYEGA 


keh do kay :  yaqeenan sabb aglay aur pichlay log aik mutayyan din kay tey shuda waqt per zaroor ikatthay kiye jayenge.

[Surah Waqiya Ayat Number 49-50] 


8) MAHSHAR MEIN LOGO KE IKHATTA HONE KI KAIFIYAT


Nabi (ﷺ) ne farmaya logo ka hashr 3 firqo mein hoga

Ek raghbath karne waale, darne waale honge.

Dusra : Ek Oont par 2 admi sawaar honge, kisi oont par 3 sawaar honge aur kisi oont par 4 sawaar honge aur kisi par 10 honge aur baki logo ko aag jama karegi.

Teesra : Kufr wa shirk waalo ka hoga, jab wo Qailula karenge to aag bhi unke saath thahregi, jab wo raat guzarenge to aag bhi unke saath thahregi, jab wo subah karenge to aag bhi subah ke waqt waha maujood hogi aur jab wo shaam karenge to aag bhi shaam ke waqt unke saath maujood hogi. 

[Sahih Bukhari Hadees Number 6522]


9) MAHSHAR KE DIN LOGO KO LIBAS PEHNAYA JAYEGA 


Mahshar ke din logo ko nange badan uthaya jayega lekin baad mein unko libaas pehnaya jayega. 


Qayamat ke din tamaam makhlooqaat mein se sabse pehle Ibraheem (as) ko libaas pehnaya jayega.

[Sahih Bukhari Hadees Number 6526] 


10) MAIDAAN HASHR KI TAKLEEF 


Hazrat Anas (r.a) se rivayat hai ke Nabi (ﷺ) ne mujhse farmaya ke main pul siraat par khada apni ummat ka muntazir rahunga ke wo pul paar kare , achaanak Isa (as) ayenge aur kahenge aye Muhammad (ﷺ) ye ambiya aap ke paas aaye hai aur ye keh rahe hai ke aap Allah ta’ala se dua farmaiye ke Allah makhlooq ka faisla farma kar unhe jis taraf chaahe bhej de, taki wo jis takleef mein mubtela hai usse najaat paa sake, makhlooq ko pasine ki lagaam padi hogi (yani wo pasine mein doobe honge), ahle imaan ki takleef to zukhaam jaisi mehsoos hogi jab ki kaafir par to  maut ki kaifiyat hogi.

[Musnad Ahmad Hadees Number 13103]


🌷Share With Others🌷

💐Jazakallahu Khairan 💐

Post a Comment

0 Comments