Qurbani Ki Fazilat Aur Uska Maqsad


Qurbani Ki Fazilat Aur Uska Maqsad


👉QURBANI KI TAREEF


Qurbani ka lughwi ma’na

1) ”Qurbani wo janwar hai jo khuda ki raah me Qurban kiya jaaye”

[Firozul-Lughat:953]


2) ”Qurbani wo amal hai jisse Allah Ta’ala ka qurb (nazdeeki) hasil kiya jata hai.”

[Al Qamoosul Muheet]


👉QURBANI KI FAZILAT


Qurbani Ibraaheem Alailhissalam ki azeem tareen sunnat hai, ye amal Allah Ta’ala ko itna pasand aya ke is amal ko Qayamat tak musalmano ke liye azeem sunnat qarar diya aur is azeem sunnat ko hamare pyare nabi Muhammad (ﷺ) ne apna dayemi (hamesha ka)  amal banaya.

Allah Ta’ala farmata hai :

“Bas tu apne Rab ke liye namaz padh aur Qurbani kar”

[Surah Al-Kausar, Ayat Number 2]


👉QURBANI KA MAQSAD


Qurbani ka maqsad mahez Allah ki raza hasil karna, uska qurb talash karna aur taqwa ka husool (hasil karna) hona chahiye, qurbani me kisi makhlooq ki raza talash karna ya Allah ke siwa kisi aur ki khushnudi chahna haram hai.

Jaise ki Allah Ta’ala farmata hai:


“Aap kah dijiye yaqeenan meri namaz meri qurbani mera jeena aur mera marna khalis Allah ke liye hai. ”

[Surah An’aam, Ayat Number 162]


Aur ek dusre maqam pe Allah Ta’ala ne farmaya-

”Allah ko na to tumhari Qurbaniyo ka gosht pahuchta hai aur na unke khoon, lekin use tumhari taraf se (tumhare dilon ka) taqwa pahuchta hai.”

[Surah Hajj, Ayat Number 37]


Lehaza Qurbani me Riyakari (dikhawe) ka amal dakhil na ho aur isi tarah qurbani me khilaf e shari’at umoor aur Allah ta’ala ko naraz karne wale bure amal se bacha jaye taki Allah hamari Qurbani qubool kare.


👉QURBANI KAB KARNI CHAHIYE


Qurbani namaz ke baad karni chahiye jaise ke RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya :


“Jisne namaz se pahle zubah kar liya to uski Qurbani nahi hui. ”

[Sahih Bukhari Hadees Number 5545]


Jisne namaz se pahle zubah kiya usne mahez apne khatir (janwar) zubah kiya aur jisne namaz (eid) ke bad jaanwar zubah kiya to yaqeenan uski Qurbani puri ho gayi aur usne musalmano ki sunnat pali.

[Sahih Bukhari Hadees Number 5546]


🌷Share With Others🌷

💐Jazakallahu Khairan💐

Post a Comment

0 Comments