Ache Dost Aur Bure Dost Ki Misaal
👉RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya- Nek saathi Mushk (perfume) bechne waley ki tarah hai or buraa saathi Bhatti phookney waley ki tarah hai.
Mushk bechney wala ya to tumhein tohfe kay taur par mushk degaa yaa tum ussey mushk khareedogey aur (agar wo tumhein mushk na bhi dey aur tum khareedo bhi nhi to paas baithney ki wajah se) achchi khusboo se toh mahfooz rahogey aur Bhatti phoonkne wala yaa tumhare kapdey (clothes) jalaa dega aur agar kapdey na bhi jalaaye to paas baithne ki wajah se tumhein badbu aur dhuaan bhi to soonghna hi padega.
[Sahih Bukhari Hadees Number 5534]
🌷Share With Others🌷
💐Jazakallahu Khairan 💐
0 Comments