Hidayat Ki Dawat Dene Ka Sawab
👉RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: Jis shaks ne hidayat ki dawat di usey hidayat ki pairvi karne walo ke barabar ajr milega aur unke ajr mein koi kami nahi hogi Aur jis shaks ne gumrahi ki dawat di us par uski pairvi karne walo ke barabar gunah (ka bojh) hoga aur unke gunah mein koi kami nahi hogi.
[Sahih Muslim Hadees Number 6804]
👉Quran Padhna Aur Padhana 🌷
RasoolAllah ﷺ ne farmaya : Tum mein sab se behtar wo shaks hai jo Quran seekhe aur sikhlaye.
[Tirmizi Hadees Number 2909]
👉Quran Ka Ek Hurf Padhne Ka Sawab 🌷
RasoolAllah ﷺ ne farmaya : Jisne kitab Allah ka Ek hurf parha usse iss ke badle Ek neki milegi, aur Ek neki das guna badha di jayegi,
Main nahi kehta <<alif laam meem>> Ek hurf hai,Balki <<alif>> Ek hurf hai, <<laam>> Ek hurf hai aur <<meem >> Ek hurf hai."
[Tirmizi Hadees Number 2910]
0 Comments