Kya Tere Aur Allah Ke Darmiyan Bhi Faasla Hai

 


Chhat Par Chadne Ke Liye Seedi Ki Zarurat Hai Kyunki Tujhme Aur Chhat Ke Darmiyan Faasla Hai
Kya Tera Ye Bhi Aqeeda Hai Ke Tere Aur Allah Ta'ala Ke Darmiyan Bhi Faasla Hai ?????


👉 Aye Muhammad (ﷺ) Jab mere bande mere bare mein aap se puche to aap keh den kay mein (apne bando se) boht hi qareeb hun ke jab koi mujhe pukarta hai to mein pukarney wale ki pukar sunta hun iss liye logon ko bhi chahiye ke wo meri baat maan liya karein aur mujh par Emaan rakhein taki woh raah-e-raast par aa jayein.

[Surah Baqarah Ayat Number 187] 


👉 aur haqeeqat ye hai kay humne insaan ko paida kiya hai , aur uss ke dil mein jo khayalaat aate hain , unn ( tak ) se hum khoob waqif hain , aur hum uss ki sheh rag se bhi zyada uske qareeb hain.

[Surah Qaaf Ayat Number 16]

Post a Comment

0 Comments