Ramzan Ke Baad Sabse Afzal Roze


Ramzan Ke Baad Sabse Afzal Roze

RasoolAllah (ﷺ) Ne Farmaya- Ramzan Ke Baad Sabse Afzal Roze Allah Ke Mahine Muharram Ke Roze Hai Aur Farz Namaz Ke Baad Sabse Afzal Namaz Raat Ki Namaz (Tahajjud) Hai.

[Sahih Muslim Hadees Number 2755]


9 Aur 10 Muharram ka Roza


👉 Ibn Abbas Radi allahu anhu se rivayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) jab madina mein tashreef laye  to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne yahudiyo ko dekha ki wo Ashura ke din (10 Muharram) ka roza rakhte hain, Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne unse iska sabab pucha to unhone kaha ki ye ek achcha din hai is din Allah ta'ala ne bani israeel ko unke dusman ( firaun) se nijat dilwayi thi isliye Musa Alaihissalam ne us din ka roza rakha tha to Aap (ﷺ) ne farmaya Musa Alaihissalam par tumse zyada haq hamara hai, phir Aap (ﷺ) ne bhi us din roza rakha aur Sahaba Radi allahu anhuma ko bhi iska hukm diya.

[Sahih Bukhari Hadees Number 2004]


👉 Abdullah Bin Abbas Radi Allahu Anhu bayan karte hai ki Jis waqt RasoolAllah (ﷺ) ne Ashura ke din Roza rakha aur Musalmano ko bhi is roze ka huqm farmaya, To Sahaba E Ikram ne arz kiya - Aye Allah Ke Rasool is din to Yahud aur Nasara bhi Tazim karte hai,To Aap (ﷺ) Ne farmaya Ki Jab Agla Saal aayega to InShaAllah Hum (Yahood wa nasara ki mushabihat se bachne ke liye) 9 ka bhi Roza Rakhenge,Aakhir Agla Saal na aane paya ki Aap (ﷺ) Duniya se wafat pa gaye (isliye hum musalman 9 muharram aur 10 muharram dono ka roza rakhte hain)

[Sahih Muslim Hadees Number 2666]

Post a Comment

0 Comments