Fashion Karna Kaisa Hai — Quran Hadees Talk

Fashion Karna Kaisa Hai
Fashion Aur Musalaman



Fashion Ka Matlab Hai - Taur Tareeka, Andaz Aur Riwaj.

Banao Shingaar Achi Cheez Hain Aur Islam Ne Iski Ijaazat Bhi Di Hain Lekin Shart Yeh Hai Ki Kitaab o Sunnat Kaa Lihaaz Rakhaa Jaaye.

Aurat Ki Zeb o Zeenat Uske Shaohar (Husband) Ka Haqq Hai.

Mard Aur Aurat Apney Apko Saaf Aur Khubsurat Rakhney Kay Liye Kayi Cheezo Ka Istemaal (Use) Kar Saktey Hai.

Lekin Aaj Kal Kah Larke Aur Larkiyon Ne Na-jaiz Fashion Shuru Ker Diyaa Hai Jo Paisey Aur Waqt Ki Barbadi Hai

Yaad Rakhein Insan Ki Khubsurti Kay Liye Sharayi (Islami) Banao Singar Hi Kafi Hai.

Allah Ta’ala Ka Irshaad Hai: 


يَٰبَنِىٓ ءَادَمَ قَدْ أَنزَلْنَا عَلَيْكُمْ لِبَاسًا يُوَٰرِى سَوْءَٰتِكُمْ وَرِيشًا ۖ وَلِبَاسُ ٱلتَّقْوَىٰ ذَٰلِكَ خَيْرٌ ۚ ذَٰلِكَ مِنْ ءَايَٰتِ ٱللَّهِ لَعَلَّهُمْ يَذَّكَّرُونَ​ 


Tarjuma- Aye Adam (Alaihis salam) Ki Aulad! Humne Tmhare Liye Libaas Paida Kiyaa Jo Tmhari Sharamgahon Ko Bhi Chupata Hai Aur Mojib e Zeenat Bhi Hai (Means Usse Zeenat Bhi Hoti Hai) Aur Taqwa Ka Libaas, Yeh Ussey Badh Kr Hai.

Yeh Allah Ta’ala Kii Nishaniyo Me Se Hai Taki Yeh Log Yad Rakhein. 


[Surah Al A’araf, Surah No:7, Ayat No: 26] 


Zara Gaor Karein Is Aayat Me Allah Ta'ala Ne Jo Libaas Sabse Behtar Bataya Hai Woh Kaunsa Libaas Hai.

Woh Taqwa Kaa Libaas Hai Halanki Islaam Ne Ek Had Me Rahte Huye Fashion Ki Ijaazat Di Hai Lekin Taqwa Sabse Behtar Hai.

Aurtein Apne Shaohar (Husband) Ke Liye Banao Singar Kar Sakti Hai.

Woh Baal Dhoyein (Hair Wash Karein), Tel (Oil) Lagayein, Kanghi (Comb) Karein Aur Agar Baal Safed Ho Jayein Toh Mehandi Lagayein.

Miswak Ya Toothpaste Se Daant (Teeth) Saaf Karein, Khubsurat Au Mazboot Banayein.

Ankhon Me Surma Lagayein.

Achche Joote (Shoes) Pehne Aur Nakhoon (Nails) Kaatein.

Yaad Rakhein Jb Hm Kitab o Sunnat Ke Mutabik Apna Fashion Bana Lenge To Aman o Sukun Hmara Mukaddar Ban Jayega.

Aaj Hamare Muashre (Society) Me Aisa Fashion Riwaaj Paya Jaa Raha Hai Jo Mamnoo Hai.

Tang (Tight), Mukhtasar Aur Bareek (Chote Aur Halke) Libas (Kapde) Pehanna Theek Nhi Hai. 


Mardo Ka Aurton Aur Aurton Ka Mardo Jaisa Libaas Pahenna Aur Masnoo’ee (Banawti) Baal Lagana Jaiz Nhi Hai.

Nabi (ﷺ) Farmatey Hai: 


عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ـ رضى الله عنه ـ عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏ “‏ لَعَنَ اللَّهُ الْوَاصِلَةَ وَالْمُسْتَوْصِلَةَ، وَالْوَاشِمَةَ وَالْمُسْتَوْشِمَةَ ‏”‏‏.‏​ 


Tarjuma - Abu Huraira Radhi Allahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Nabi (ﷺ) Wasallam ne Farmaya: Sar Kah Qudrati Baalo (Hairs) Me Masnoo’ee (Artificial) Baal (Hair) Lagane Waaliyon Par Aur Lagwane Waaliyon Par Aur Godne Waaliyon Par Aur Gudwaane Waaliyon Par Allah Ta'ala Ne Lanat Bheji Hai.

[Sahih Bukhari Hadees Number 5933] 


Fuzool Faishon Karne Se Bahot Sari Bimariyan Janm Leti Hai. 


Ghair Zaruri Faishon Ke Bahot Zyada Nuksanat Hai. Skin Ki Bimariyan, Allergy, Baalon Ka Girna Or Nakhoon Badhaane Se Jism Ke Andar Germs Daakhil Ho Jate Hai.

Paise Bhi Barbad Hote Hai. Artificial Eyebrows, Nakhoon Or Baal Jaldi Kharab Ho Jate Hai.

Powder, Lipstick Aur Lotions Bar-Bar Khareedne Padte Hai.

Jab ki Allah Ta'ala To Fuzool Kharchi Se Mana Farmata Hai: 


يَا بَنِي آدَمَ خُذُوا زِينَتَكُمْ عِنْدَ كُلِّ مَسْجِدٍ وَكُلُوا وَاشْرَبُوا وَلَا تُسْرِفُوا ۚ إِنَّهُ لَا يُحِبُّ الْمُسْرِفِينَ​ 


Tarjuma - Aye aulaad e Aadam! Tum masjid ki har hazri kay waqt apnaa libaas pahen liya karo. Or khoob khao or piyo or hadd se mat niklo.

Beshak Allah Ta'ala hadd se nikal jane walo ko pasnd nhi karta.

[Surah Al A’raaf, Surah Number: 7 Ayat Number: 31] 


Waqt, Sehat, Maal Or Salaahiyat Allah Ta'ala Ki Taraf Se Amanat Hai.

Agar Hm Unhe Bekar Ke Kaamo Me Istemal Karenge To Allah Ta'ala Ke Yahan Gunehgar Honge. 


Jo Fashion Lazmi Nhi Use Chodd Dein Or Apni Zindagi Ko Khushguwar Banayein. 


Quran Aur Hadees Ne Humein Khubsoorat Or Saaf Rahne Ke Liye Kayi Tarike Batayein Hai.

Agar Hum Un Tariko Par Amal Karein Toh Haseen o Jameel Ban Jayenge Lekin Logon Ka Haal Ye Hai Ki Wo Western Culture Ki Zahiri Chamak Dhamak Dekh Kar Use Apnaane Ki Koshish Kar Rahein Hain.

Yaad Rakhein! Fuzool Fashion Ka Duniya Aur Akhirat Me Sirf Nuksan Hi Nuksan Hai.

Post a Comment

1 Comments