Kafir Hi Hoga Jo Share Nahi Karega


Facebook par Login karne kay bad jo pahli post dekhi 

Usme Khana e Kaaba ki photo ke upar likha tha....

Koi kafir hi hoga jo isey share na karey.


Dusri post me Quran-E-Majeed ki Aayat kay saah likha tha kay

Isey like kartey waqt shaitan aap ko rokeyga, 


Teesri post mein ek nara darj tha or sath me ek tehreer bhi likhi thi 

Usme likha hua tha kay naare ka jawab sirf halali hi dein


Isi tarah mo'tabar shakhsiyaat ko madd e maqabil kar ke mu'azna kiya jata hai kay

Batao isme konsi shakhsiyat deen ki zyada khidmat kar rhi hai 

Kaun zyada muttaqi aur parhezgar hai....


Ye bhi dekhne ko milta hai ke 

Lafz e Muhammad (ﷺ) ko post karke ye likha hua hota hai kay

Voting kijiye or imani suboot dijiye....


Hairangi hoti hai ke koi Khana e Kaaba ki Photo share na karne se kafir,

Aayat ko like na karne se shaitan ka sathi

Aur naare ka jawab na dene se harami kaise ho sakta hai ? 


Duniya ki sab se azeem hasti ke liye voting karna kiya mayne rakhta hai ? 


Aisa log dara dara kar zabardasti karwate hai

Or har charsi namaz roza chhod kar bas Facebook Instagram aur Whatsapp pe yhi karta hai or sabse karwata hai


Muttaqi aur parhezgari ka certificate dene wale ham kaun hote hai, Allah Azza wa Jal Allam ul Ghuyub ke sath Khabeer bhi hai jo barhaq faisla karney wala hai....


Aise zehni mareezon se guzarish hai ke apni islah kijiye or aisi posts share karne se bachiye

Allah hum sabko deen ki sahih samajh ata karey, Aameen.

Post a Comment

1 Comments